ilm-o-KHudi
jo ilm tujhe pās-e-ḳhudī par na ubhāre
vo laġhv hai yā lahv hai yā sahv hai pyāre
ye sīna-e-arzī pe machalte hue dhāre
zinda haiñ faqat zauq-e-tamavvuj ke sahāre
haif aise musāfir pe jo itnā bhī na samjhā
kashtī harakat meñ hai ki chalte haiñ kināre
gahvāra-e-taḳhrīb hai vo ilm-e-ma.īshat
shāhīñ ko jo ta.amīr-e-nasheman pe ubhāre
e.ajāz-e-ḳhudī dekh ki aahū ke ye bachche
bharne lage sheroñ ke ta.āqub meñ tarāre
ġhairat vo haqīqat hai ki jab hotī hai bedār
sūraj pe jhapaT paḌte haiñ shabnam ke sharāre
jo ilm tujhe pas-e-KHudi par na ubhaare
wo laghw hai ya lahw hai ya sahw hai pyare
ye sina-e-arzi pe machalte hue dhaare
zinda hain faqat zauq-e-tamawwuj ke sahaare
haif aise musafir pe jo itna bhi na samjha
kashti harakat mein hai ki chalte hain kinare
gahwara-e-taKHrib hai wo ilm-e-maishat
shahin ko jo tamir-e-nasheman pe ubhaare
eajaz-e-KHudi dekh ki aahu ke ye bachche
bharne lage sheron ke taaqub mein tarare
ghairat wo haqiqat hai ki jab hoti hai bedar
suraj pe jhapaT paDte hain shabnam ke sharare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.