ilm-o-mohabbat
bahut bahā hai zamāne meñ ḳhuun insāñ kā
karo kuchh aisā ki dushman na koī qātil ho
ajiib daur hai duniyā meñ kam-nigāhī kā
koī to nuuh sā nikle kahīñ to sāhil ho
jahāñ bhī dekho jamāyā hai Derā ġhāsib ne
yahāñ pe kaash koī haq-parast-o-ādil ho
har ek samt hukūmat hai dushman-e-ādam
koī to fāteh-e-zulm aur radd-e-bātil ho
nahīñ hai sher meñ ishq-o-vafā sadāqat kuchh
koī ho 'ġhālib'-o-'iqbāl' koī 'bedil' ho
jalāo ilm-o-mohabbat kī vo hasīñ sham.eñ
na koī dushmanī rakkhe na koī jāhil ho
bahut baha hai zamane mein KHun insan ka
karo kuchh aisa ki dushman na koi qatil ho
ajib daur hai duniya mein kam-nigahi ka
koi to nuh sa nikle kahin to sahil ho
jahan bhi dekho jamaya hai Dera ghasib ne
yahan pe kash koi haq-parast-o-adil ho
har ek samt hukumat hai dushman-e-adam
koi to fateh-e-zulm aur radd-e-baatil ho
nahin hai sher mein ishq-o-wafa sadaqat kuchh
koi ho 'ghaalib'-o-'iqbaal' koi 'bedil' ho
jalao ilm-o-mohabbat ki wo hasin shamen
na koi dushmani rakkhe na koi jahil ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.