ilm
sonā chāñdī aur na gauhar
sab se behtar ilm kā zevar
ilm kī daulat hai vo daulat
jitnī bāñTo utnī barakat
is ko koī chor na paa.e
kaise koī is ko churā.e
ilm hameñ jiinā sikhlā.e
bhale bure kā farq batā.e
paas nahīñ jo ilm kā jauhar
gauhar patthar sab haiñ barābar
ilm se ho zehnoñ meñ ujālā
añdhiyāroñ kā muñh ho kaalā
ilm hai ruuh aur jism hai insāñ
ruuh nahīñ to jism hai be-jāñ
ilm se raushan dil hotā hai
ilm ḳhud ik manzil hotā hai
bachcho ilm se muñh mat moḌo
is daulat ko kabhī na chhoḌo
apnā to 'jauhar' ye yaqīñ hai
ilm nahīñ to kuchh bhī nahīñ hai
sona chandi aur na gauhar
sab se behtar ilm ka zewar
ilm ki daulat hai wo daulat
jitni banTo utni barakat
is ko koi chor na pae
kaise koi is ko churae
ilm hamein jina sikhlae
bhale bure ka farq batae
pas nahin jo ilm ka jauhar
gauhar patthar sab hain barabar
ilm se ho zehnon mein ujala
andhiyaron ka munh ho kala
ilm hai ruh aur jism hai insan
ruh nahin to jism hai be-jaan
ilm se raushan dil hota hai
ilm KHud ek manzil hota hai
bachcho ilm se munh mat moDo
is daulat ko kabhi na chhoDo
apna to 'jauhar' ye yaqin hai
ilm nahin to kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.