iltibas
hameñ kis ne dhakelā is taraf
un nuur barsātī huī niilī fazāoñ se
unnābī surḳh phūloñ se aTī
maḳhmal ridā.ī sar-zamīnoñ se
kanār-e-ābjū se
vo jahāñ sayyāl chāñdī bah rahī thī
hameñ kis ne jagāyā
gungunāte ḳhvāb se
jis meñ kisī lahn-e-musalsal kī
hasīñ takrār se mīThe madhur naġhme ubharte the
vo jaadū sī jakaḌ qadmoñ meñ āñkhoñ meñ
samā.at meñ
hameñ kis ne haTāyā faiz-parvar reg-zāroñ se
vo jin kī ret par man kī farozāñ raushnī se
un sarāboñ kī chhabī bantī
vo jin kī tishnagī se ruuh tak sairāb rahtī thī
hameñ kis ne
hamein kis ne dhakela is taraf
un nur barsati hui nili fazaon se
unnabi surKH phulon se aTi
maKHmal ridai sar-zaminon se
kanar-e-abju se
wo jahan sayyal chandi bah rahi thi
hamein kis ne jagaya
gungunate KHwab se
jis mein kisi lahn-e-musalsal ki
hasin takrar se miThe madhur naghme ubharte the
wo jadu si jakaD qadmon mein aankhon mein
samaat mein
hamein kis ne haTaya faiz-parwar reg-zaron se
wo jin ki ret par man ki farozan raushni se
un sarabon ki chhabi banti
wo jin ki tishnagi se ruh tak sairab rahti thi
hamein kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.