iltija
daraḳht ko jaise do lakaḌhāre ek aare se kāTte haiñ
daraḳht chāhe ghanā ho jitnā baḌā ho jitnā
magar ye donoñ baḌe hī ārām se use kāTte haiñ socho
agar ye do kī bajā.e bas ek ho to kyā ho
ki ek ke bas kī baat hogī daraḳht ko kaaT kar girānā
nahīñ ye mumkin nahīñ hai hargiz
bahut sī dushvāriyoñ se us ko guzarnā hogā
agar vo koshish kare bhī to uljhaneñ to hoñgī
bahut se aise bhī mas.ale hoñge jin kī ḳhātir
udāsiyoñ se nirāsh ho kar
vo thak ke baiThe
mirī bhī uljhan kuchh aisī hī hai
ki hijr ye bhī daraḳht jaisā ghanā hai jānāñ baḌā hai jānāñ
akele maiñ is ko kaaT saktā huuñ tum hī socho
bahut sī dushvāriyoñ se maiñ bhī guzar rahā huuñ
agar maiñ koshish karūñ bhī to uljhaneñ bahut haiñ
bahut se aise bhī mas.ale haiñ ki jin kī ḳhātir
udāsiyoñ se nirāsh ho kar
maiñ thak ke baiThā huuñ
suno mirī ek iltijā hai
ki haath merā baTāne tum aao thoḌā jānāñ
bahut hai mumkin
ki donoñ mil kar ye hijr kāTeñ
to ye ghanā peḌ kaT giregā
daraKHt ko jaise do lakaDhaare ek aare se kaTte hain
daraKHt chahe ghana ho jitna baDa ho jitna
magar ye donon baDe hi aaram se use kaTte hain socho
agar ye do ki bajae bas ek ho to kya ho
ki ek ke bas ki baat hogi daraKHt ko kaT kar girana
nahin ye mumkin nahin hai hargiz
bahut si dushwariyon se us ko guzarna hoga
agar wo koshish kare bhi to uljhanen to hongi
bahut se aise bhi masale honge jin ki KHatir
udasiyon se nirash ho kar
wo thak ke baiThe
meri bhi uljhan kuchh aisi hi hai
ki hijr ye bhi daraKHt jaisa ghana hai jaanan baDa hai jaanan
akele main is ko kaT sakta hun tum hi socho
bahut si dushwariyon se main bhi guzar raha hun
agar main koshish karun bhi to uljhanen bahut hain
bahut se aise bhi masale hain ki jin ki KHatir
udasiyon se nirash ho kar
main thak ke baiTha hun
suno meri ek iltija hai
ki hath mera baTane tum aao thoDa jaanan
bahut hai mumkin
ki donon mil kar ye hijr kaTen
to ye ghana peD kaT girega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.