iltija
mire shikāriyo amaan chāhtā huuñ maiñ
bas ab salāmtī-e-jāñ kī had talak uḌaan chāhtā huuñ maiñ
mire shikāriyo amaan chāhtā huuñ maiñ
maiñ ek baar pahle bhī hare-bhare dinoñ kī aarzū meñ zer-e-dām aa chukā huuñ
mujh ko baḳhsh do
maiñ is se pahle bhī to sāya-e-shajar kī justujū meñ itne zaḳhm khā chukā huuñ
mujh ko baḳhsh do
mire shikāriyo amaan chāhtā huuñ maiñ
bas ab salāmtī-e-jāñ kī had talak uḌaan chāhtā huuñ maiñ
bas ek ghar zamīn o āsmāñ ke darmiyān chāhtā huuñ maiñ
mire shikāriyo amaan chāhtā huuñ maiñ
mere shikariyo aman chahta hun main
bas ab salamti-e-jaan ki had talak uDan chahta hun main
mere shikariyo aman chahta hun main
main ek bar pahle bhi hare-bhare dinon ki aarzu mein zer-e-dam aa chuka hun
mujh ko baKHsh do
main is se pahle bhi to saya-e-shajar ki justuju mein itne zaKHm kha chuka hun
mujh ko baKHsh do
mere shikariyo aman chahta hun main
bas ab salamti-e-jaan ki had talak uDan chahta hun main
bas ek ghar zamin o aasman ke darmiyan chahta hun main
mere shikariyo aman chahta hun main
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 153)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.