iltija
sukūñ kī chhāñv ke muntazir
kab se khaḌe
ġhamoñ kī dhuup meñ tap rahe haiñ
duur tak kahīñ bhī koī
chāhat kā saaya nazar aatā nahīñ
mere mālik
tū agar chāhe
zarre ko sūraj
aur qatre ko samundar bhī banā de
dukhoñ ke ham bahut maare hue haiñ
ab aur imtihāñ na le
barsā de ham pe
rahm kī bārish ḳhudāyā
sukun ki chhanw ke muntazir
kab se khaDe
ghamon ki dhup mein tap rahe hain
dur tak kahin bhi koi
chahat ka saya nazar aata nahin
mere malik
tu agar chahe
zarre ko suraj
aur qatre ko samundar bhi bana de
dukhon ke hum bahut mare hue hain
ab aur imtihan na le
barsa de hum pe
rahm ki barish KHudaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.