iltimas
aa.iye vaqt ke chehre se uThā.eñ ye naqāb
aa.iye apne raqīboñ se mulāqāt kareñ
aa.iye pyaar kī tahzīb kā unvāñ ban kar
ik na.e ahd kī taḳhlīq kī kuchh baat kareñ
aa.iye is kaḌī dīvār-e-sitam ko Dhā.eñ
sab meñ taqsīm mohabbat hī kī sauġhāt kareñ
baiTh ke dil ke darīchoñ ko zarā kholeñ to
khulte mausam kī havāoñ ko giraftār kareñ
jo na sochā thā kabhī ham ne vo socheñ be-shak
mil ke chalne ke liye zehn ko tayyār kareñ
aag nafrat kī jalātī hai ḳhushī ke āñgan
phuul ḳhushbū se zamīñ ko hasīñ gulzār kareñ
faisla ab na huā jang se be-zārī kā
to kabhī amn kā māhaul na hogā taarī
aag bārūd kī bū aa.egī is miTTī se
tank topoñ meñ basar umr ye hogī saarī
aaiye waqt ke chehre se uThaen ye naqab
aaiye apne raqibon se mulaqat karen
aaiye pyar ki tahzib ka unwan ban kar
ek nae ahd ki taKHliq ki kuchh baat karen
aaiye is kaDi diwar-e-sitam ko Dhaen
sab mein taqsim mohabbat hi ki saughat karen
baiTh ke dil ke darichon ko zara kholen to
khulte mausam ki hawaon ko giraftar karen
jo na socha tha kabhi hum ne wo sochen be-shak
mil ke chalne ke liye zehn ko tayyar karen
aag nafrat ki jalati hai KHushi ke aangan
phul KHushbu se zamin ko hasin gulzar karen
faisla ab na hua jang se be-zari ka
to kabhi amn ka mahaul na hoga tari
aag barud ki bu aaegi is miTTi se
tank topon mein basar umr ye hogi sari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.