iltimas
apne āñchal pe sitāroñ se mirā naam na likh
maiñ tirā ḳhvāb huuñ palkoñ meñ sajā le mujh ko
merī fitrat hai mohabbat kī machaltī huī lahar
apne siine ke samundar meñ chhupā le mujh ko
zindagī chāñdnī rātoñ kā hasīñ ruup liye
sañg-e-marmar ke jazīroñ meñ utar aa.ī hai
ik tire dast-e-hinā.ī ko chhuā hai jab bhī
saat rañgoñ kī fazā zehn meñ lahrā.ī hai
tere hañste hue hoñToñ kā pighaltā huā lams
gungunātā hai mirī ruuh kī tanhā.ī meñ
kisī shīshe kisī sāġhar kisī sahbā meñ kahāñ
vo jo mastī hai tire jism kī añgḌā.ī meñ
apnī abreshmīñ zulfoñ ke ghanere saa.e
merī nīndoñ ke shabistānoñ meñ lahrāne de
mujh ko hañste hue ḳhvāboñ kā muqaddar ban kar
apne hāthoñ kī lakīroñ meñ samā jaane de
apne aanchal pe sitaron se mera nam na likh
main tera KHwab hun palkon mein saja le mujh ko
meri fitrat hai mohabbat ki machalti hui lahar
apne sine ke samundar mein chhupa le mujh ko
zindagi chandni raaton ka hasin rup liye
sang-e-marmar ke jaziron mein utar aai hai
ek tere dast-e-hinai ko chhua hai jab bhi
sat rangon ki faza zehn mein lahrai hai
tere hanste hue honTon ka pighalta hua lams
gungunata hai meri ruh ki tanhai mein
kisi shishe kisi saghar kisi sahba mein kahan
wo jo masti hai tere jism ki angDai mein
apni abreshmin zulfon ke ghanere sae
meri nindon ke shabistanon mein lahrane de
mujh ko hanste hue KHwabon ka muqaddar ban kar
apne hathon ki lakiron mein sama jaane de
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 54)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.