ilzam
ahl-e-zar ki muflis ko
pāgal kahā karte haiñ
dar-asl havas kā vo āḳhirī marhala
ham jise pāgal-pan kahte haiñ
kisī muflis par taarī nahīñ hotā
ye to
ek ilzām hai
jo muflisī ke māthe kī
shobhā hai
jo apnī kokh se
ka.ī gunāhoñ ko janm detā hai
na.e jahān kī ta.amīr karvātā hai
ahl-e-zar ki muflis ko
pagal kaha karte hain
dar-asl hawas ka wo aaKHiri marhala
hum jise pagal-pan kahte hain
kisi muflis par tari nahin hota
ye to
ek ilzam hai
jo muflisi ke mathe ki
shobha hai
jo apni kokh se
kai gunahon ko janm deta hai
nae jahan ki tamir karwata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.