imroz
abad ke samundar kī ik mauj jis par mirī zindagī kā kañval tairtā hai
kisī an-sunī dā.imī rāgnī kī koī taan āzurda āvāra barbād
jo dam bhar ko aa kar mirī uljhī uljhī sī sāñsoñ ke sañgīt meñ Dhal ga.ī hai
zamāne kī phailī huī be-karāñ vus.atoñ meñ ye do chaar lamhoñ kī mī.ād
tulū o ġhurūb-e-mah-o-mehr ke jāvedānī tasalsul kī do chaar kaḌiyāñ
ye kuchh thartharāte ujāloñ kā rūmān ye kuchh sansanāte añdheroñ kā qissa
ye jo kuchh ki mere zamāne meñ hai aur ye jo kuchh ki us ke zamāne meñ maiñ huuñ
yahī merā hissa azal se abad ke ḳhazānoñ se hai bas yahī merā hissa
mujhe kyā ḳhabar vaqt ke devtā kī hasīñ rath ke pahiyoñ tale pis chuke haiñ
muqaddar ke kitne khilaune zamānoñ ke hañgāme sadiyoñ ke sad-hā hayūle
mujhe kyā ta.alluq merī āḳhirī saañs ke ba.ad bhī dosh-e-gītī pe machle
mah o saal ke lā-zavāl āb-shār-e-ravāñ kā vo āñchal jo tāroñ ko chhū le
magar aah ye lamha-e-muḳhtasar jo mirī zindagī merā zād-e-safar hai
mire saath hai mere bas meñ hai merī hathelī pe hai ye labā-lab pyāla
yahī kuchh hai le de ke mere liye is ḳharābāt-e-shām-o-sahar meñ yahī kuchh
ye ik mohlat-e-kāvish-e-dard-e-hastī ye ik fursat-e-koshish-e-āh-o-nāla
ye sahbā-e-imroz jo sub.h kī shāhzādī kī mast añkhḌiyoñ se Tapak kar
ba-daur-e-hayāt aa ga.ī hai ye nannhī sī chiḌiyāñ jo chhat meñ chahakne lagī haiñ
havā kā ye jhoñkā jo mere darīche meñ tulsī kī Tahnī ko larzā gayā hai
paḌosan ke āñgan meñ paanī ke nalke pe ye chūḌiyāñ jo chhanakne lagī haiñ
ye duniya-e-imroz merī hai mere dil-e-zār kī dhaḌkanoñ kī amiiñ hai
ye ashkoñ se shādāb do chaar sub.heñ ye aahoñ se māmūr do chaar shāmeñ
inhī chilmanoñ se mujhe dekhnā hai vo jo kuchh ki nazroñ kī zad meñ nahīñ hai
abad ke samundar ki ek mauj jis par meri zindagi ka kanwal tairta hai
kisi an-suni daimi ragni ki koi tan aazurda aawara barbaad
jo dam bhar ko aa kar meri uljhi uljhi si sanson ke sangit mein Dhal gai hai
zamane ki phaili hui be-karan wusaton mein ye do chaar lamhon ki miad
tulu o ghurub-e-mah-o-mehr ke jawedani tasalsul ki do chaar kaDiyan
ye kuchh thartharaate ujalon ka ruman ye kuchh sansanate andheron ka qissa
ye jo kuchh ki mere zamane mein hai aur ye jo kuchh ki us ke zamane mein main hun
yahi mera hissa azal se abad ke KHazanon se hai bas yahi mera hissa
mujhe kya KHabar waqt ke dewta ki hasin rath ke pahiyon tale pis chuke hain
muqaddar ke kitne khilaune zamanon ke hangame sadiyon ke sad-ha hayule
mujhe kya talluq meri aaKHiri sans ke baad bhi dosh-e-giti pe machle
mah o sal ke la-zawal aab-shaar-e-rawan ka wo aanchal jo taron ko chhu le
magar aah ye lamha-e-muKHtasar jo meri zindagi mera zad-e-safar hai
mere sath hai mere bas mein hai meri hatheli pe hai ye laba-lab pyala
yahi kuchh hai le de ke mere liye is KHarabaat-e-sham-o-sahar mein yahi kuchh
ye ek mohlat-e-kawish-e-dard-e-hasti ye ek fursat-e-koshish-e-ah-o-nala
ye sahba-e-imroz jo subh ki shahzadi ki mast ankhDiyon se Tapak kar
ba-daur-e-hayat aa gai hai ye nannhi si chiDiyan jo chhat mein chahakne lagi hain
hawa ka ye jhonka jo mere dariche mein tulsi ki Tahni ko larza gaya hai
paDosan ke aangan mein pani ke nalke pe ye chuDiyan jo chhanakne lagi hain
ye duniya-e-imroz meri hai mere dil-e-zar ki dhaDkanon ki amin hai
ye ashkon se shadab do chaar subhen ye aahon se mamur do chaar shamen
inhi chilmanon se mujhe dekhna hai wo jo kuchh ki nazron ki zad mein nahin hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 100)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.