imtiyaz
dil aaj sarf-e-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
pābandī-e-niyāz kiye jā rahā huuñ maiñ
naqsh-e-qadam pe un ke jhukā kar jabīn-e-shauq
sajdoñ se sarfarāz kiye jā rahā huuñ maiñ
ai ishq bhar ke de mujhe phir jām-e-be-ḳhudī
ab phir kuchh imtiyāz kiye jā rahā huuñ maiñ
dekhā hai us ne phir nigah-e-fitna-sāz se
phir dil pe faḳhr-o-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
us mah-jabīñ ke husn kā de kar hasīñ fareb
tāroñ se sāz-bāz kiye jā rahā huuñ maiñ
phir kar rahā huuñ shāhid-e-fitrat se chheḌ-chhāḌ
phir inkishāf-e-rāz kiye jā huuñ meñ
dil aaj sarf-e-naz kiye ja raha hun main
pabandi-e-niyaz kiye ja raha hun main
naqsh-e-qadam pe un ke jhuka kar jabin-e-shauq
sajdon se sarfaraaz kiye ja raha hun main
ai ishq bhar ke de mujhe phir jam-e-be-KHudi
ab phir kuchh imtiyaz kiye ja raha hun main
dekha hai us ne phir nigah-e-fitna-saz se
phir dil pe faKHr-o-naz kiye ja raha hun main
us mah-jabin ke husn ka de kar hasin fareb
taron se saz-baz kiye ja raha hun main
phir kar raha hun shahid-e-fitrat se chheD-chhaD
phir inkishaf-e-raaz kiye ja hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.