in se miliye
kahne ko to baby haiñ ye
sach pūchho to naanī haiñ ye
aafat kī parkāla kahiye
shaitāñ kī bhī ḳhāla kahiye
shāhīna kī choTī khīñchī
farzāna kī copy le lī
is ko maarā us ko jhapTā
kaam yahī hai saare din kā
aashā hai ik roz gagan par
chamkeñgī ye taarā ban kar
titlī ik firdaus kī haiñ ye
nannhī-munnī gol sī haiñ ye
āshāoñ kā darpan kahiye
maañ ke dil kī dhaḌkan kahiye
daadī kī ummīd yahī haiñ
ḳhushiyoñ kī tamhīd yahī haiñ
bholī-bhālī sūrat in kī
achchhī achchhī aadat in kī
hogā har-sū in se ujālā
duur kareñgī jag kā añdherā
jo beTī beTā se bhī miliye
bas aafat kī puḌiyā se bhī miliye
hañsmukh sī ek guḌiyā haiñ ye
zid karne meñ yaktā haiñ ye
rone par ye aatī haiñ jab
ghanToñ shor machātī haiñ tab
dublī patlī nāzuk sī haiñ
juuhī kī ik nannhī kalī haiñ
qaum kī ḳhidmat kaam ho in kā
jag meñ raushan naam ho in kā
kahne ko to baby hain ye
sach puchho to nani hain ye
aafat ki parkala kahiye
shaitan ki bhi KHala kahiye
shahina ki choTi khinchi
farzana ki copy le li
is ko mara us ko jhapTa
kaam yahi hai sare din ka
aasha hai ek roz gagan par
chamkengi ye tara ban kar
titli ek firdaus ki hain ye
nannhi-munni gol si hain ye
aashaon ka darpan kahiye
man ke dil ki dhaDkan kahiye
dadi ki ummid yahi hain
KHushiyon ki tamhid yahi hain
bholi-bhaali surat in ki
achchhi achchhi aadat in ki
hoga har-su in se ujala
dur karengi jag ka andhera
jo beTi beTa se bhi miliye
bas aafat ki puDiya se bhi miliye
hansmukh si ek guDiya hain ye
zid karne mein yakta hain ye
rone par ye aati hain jab
ghanTon shor machati hain tab
dubli patli nazuk si hain
juhi ki ek nannhi kali hain
qaum ki KHidmat kaam ho in ka
jag mein raushan nam ho in ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.