jafa-e-dil-shikan
ye na.ī hai gardish-e-charḳh-e-kuhan
dushman-e-jāñ hai jafā-e-dil-shikan
vo balā aa.ī ga.ī hai dil pe ban
ab nahīñ hai haa.e jā-e-dam-zadan
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
pahle mahshar se qayāmat aa ga.ī
hashr ke sar par musībat aa ga.ī
lab pe gardūñ ke shikāyat aa ga.ī
jaan par afsos aafat aa ga.ī
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
luT gayā asbāb chhoḌā sab ne ghar
ab hai sahrā-e-musībat kā safar
hāl-e-bad par apne har dam hai nazar
is musībat kī na thī aslan ḳhabar
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
muflisī kī har taraf ab hai pukār
maal ko rote haiñ apne māl-dār
ġham hai khāne ke liye lail-o-nahār
aab kī jā ashk de hai chashm-e-zār
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
paañv meñ juutī na sar par hai kulāh
tan hai uryāñ saarī ḳhilqat hai tabāh
hai falak ke zulm par sab ke nigāh
ḳhasta-dil allāh se haiñ dād-ḳhvāh
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
hai qayāmat kā namūna dekh lo
kuchh na beTe kī ḳhabar hai baap ko
bhaa.ī kī bhaa.ī ko kab hai justujū
bāġh-e-ālam meñ nahīñ ulfat kī bū
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
farsh-e-gul kī jā hai bistar ḳhaar kā
rañg faq hai har jigar-afgār kā
sadma hai andoh ke āzār kā
dil fasurda-hāl hai bīmār kā
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
ḳhvāb-hā-e-aish ko kyā ho gayā
ye hī afsāna hai kyā thā kyā huā
kyā kiyā tū ne ye charḳh-e-pur-jafā
ye sitam thā ai sitamgar kab ravā
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
āh-bar-lab chashm-e-pur-nam zard rau
hai pareshānī qayāmat mū-ba-mū
haa.e haa.e kī sadā hai chār-sū
ḳhaak meñ sab kī milī hai aabrū
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
shahar thā ye sānī-e-ḳhuld-barīñ
is chaman ke gul hue sahrā-nashīñ
ho ga.ī vīrān dehlī kī zamīñ
is sitam par dil hai rotā ai 'mubīñ'
pā-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehlī ke haiñ saare na.ara-zan
ye nai hai gardish-e-charKH-e-kuhan
dushman-e-jaan hai jafa-e-dil-shikan
wo bala aai gai hai dil pe ban
ab nahin hai hae ja-e-dam-zadan
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
pahle mahshar se qayamat aa gai
hashr ke sar par musibat aa gai
lab pe gardun ke shikayat aa gai
jaan par afsos aafat aa gai
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
luT gaya asbab chhoDa sab ne ghar
ab hai sahra-e-musibat ka safar
haal-e-bad par apne har dam hai nazar
is musibat ki na thi aslan KHabar
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
muflisi ki har taraf ab hai pukar
mal ko rote hain apne mal-dar
gham hai khane ke liye lail-o-nahaar
aab ki ja ashk de hai chashm-e-zar
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
panw mein juti na sar par hai kulah
tan hai uryan sari KHilqat hai tabah
hai falak ke zulm par sab ke nigah
KHasta-dil allah se hain dad-KHwah
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
hai qayamat ka namuna dekh lo
kuchh na beTe ki KHabar hai bap ko
bhai ki bhai ko kab hai justuju
bagh-e-alam mein nahin ulfat ki bu
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
farsh-e-gul ki ja hai bistar KHar ka
rang faq hai har jigar-afgar ka
sadma hai andoh ke aazar ka
dil fasurda-haal hai bimar ka
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
KHwab-ha-e-aish ko kya ho gaya
ye hi afsana hai kya tha kya hua
kya kiya tu ne ye charKH-e-pur-jafa
ye sitam tha ai sitamgar kab rawa
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
aah-bar-lab chashm-e-pur-nam zard rau
hai pareshani qayamat mu-ba-mu
hae hae ki sada hai chaar-su
KHak mein sab ki mili hai aabru
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
shahar tha ye sani-e-KHuld-barin
is chaman ke gul hue sahra-nashin
ho gai viran dehli ki zamin
is sitam par dil hai rota ai 'mubin'
pa-barahna ghar se nikle mard o zan
log dehli ke hain sare nara-zan
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 230)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.