jashn-e-azadi
dil jalāo
amn kī rāhoñ ko bhar do nuur se
ḳhatm tārīkī karo
jaañ jalāo
sham.a kī mānind pighlo
āñdhiyoñ meñ bhī na bujhne do mohabbat ke charāġh
duur kar do nafratoñ ke saare daaġh
infirādī ḳhvāhishoñ kī aag ko ThanDā karo
qarya qarya
kū-ba-kū
ijtimā.ī soch ke anmol diip
chār-sū raushan karo
dosto
jashn-e-āzādī nahīñ hai
qumqume bijlī ke bāzāroñ meñ sulgāne kā naam
apnī miTTī hai muqaddas
jaise mamtā kā taqaddus
ḳhuun kā ik ek qatra de ke bhī
is kī rakhvālī muqaddam
shān-e-momin
azm-e-paiham
maujzan ho ruuh ruuh
josh-e-īmān-e-husain
jazba-e-abbās se ho sū-e-manzil gāmzan
sub.h-e-āzādī ke matvāloñ kī hai apnī hī baat
har qadam rakkheñ vo āzādī ke parcham ko buland
dast-o-bāzū apne kaTvā kar bhī vo khā.eñ na maat
dosto
jashn-e-āzādī nahīñ hai
chaḌh ke bām-o-dar pe apne
chand lamhoñ ke liye parcham ke lahrāne kā naam
dil jalao
amn ki rahon ko bhar do nur se
KHatm tariki karo
jaan jalao
shama ki manind pighlo
aandhiyon mein bhi na bujhne do mohabbat ke charagh
dur kar do nafraton ke sare dagh
infiradi KHwahishon ki aag ko ThanDa karo
qarya qarya
ku-ba-ku
ijtimai soch ke anmol dip
chaar-su raushan karo
dosto
jashn-e-azadi nahin hai
qumqume bijli ke bazaron mein sulgane ka nam
apni miTTi hai muqaddas
jaise mamta ka taqaddus
KHun ka ek ek qatra de ke bhi
is ki rakhwali muqaddam
shan-e-momin
azm-e-paiham
maujzan ho ruh ruh
josh-e-iman-e-husain
jazba-e-abbas se ho su-e-manzil gamzan
subh-e-azadi ke matwalon ki hai apni hi baat
har qadam rakkhen wo aazadi ke parcham ko buland
dast-o-bazu apne kaTwa kar bhi wo khaen na mat
dosto
jashn-e-azadi nahin hai
chaDh ke baam-o-dar pe apne
chand lamhon ke liye parcham ke lahrane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.