lamhat-e-azadi
ghaTāoñ ke sāyoñ kī mastī se baḌh kar
farishtoñ kī pākīza hastī se baḌh kar
hasīñ barbatoñ ke tarannum se pyāre
lab-e-dil-nashīñ ke tabassum se pyāre
vatan ke hasīnoñ ke nāmoñ se mīThe
nigāhoñ ke pur-kaif jāmoñ se mīThe
mohabbat ke āvāra rāgoñ se pyāre
sulemā kī zulfoñ ke nāgoñ se pyāre
sitāroñ ke pur-nūr bistar se dilkash
mah-o-mehr ke sīm-gūñ ghar se dilkash
bahāroñ kī uThtī javānī se shīrīñ
mirī āshiqī kī kahānī se shīrīñ
vo lamhāt guzreñ jo āzādiyoñ meñ
vo auqāt guzreñ jo āzādiyoñ meñ
ghaTaon ke sayon ki masti se baDh kar
farishton ki pakiza hasti se baDh kar
hasin barbaton ke tarannum se pyare
lab-e-dil-nashin ke tabassum se pyare
watan ke hasinon ke namon se miThe
nigahon ke pur-kaif jamon se miThe
mohabbat ke aawara ragon se pyare
sulema ki zulfon ke nagon se pyare
sitaron ke pur-nur bistar se dilkash
mah-o-mehr ke sim-gun ghar se dilkash
bahaaron ki uThti jawani se shirin
meri aashiqi ki kahani se shirin
wo lamhat guzren jo aazadiyon mein
wo auqat guzren jo aazadiyon mein
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 83)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : Uttar Prdesh Urdu Academy,Lucknow (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.