pandrah august
aaj hai pañdrah august qaum ke tehvār kā din
aaj ke din hī to āzād hue the ham log
kyoñ na is din ko masarrat ke liye vaqf rakheñ
haañ isī din to ġhulāmī kā fusūñ toḌā thā
kyoñ na is din ko rivāyat ke liye vaqf rakheñ
des meñ apne haiñ baaqī kuchh añdhere ab bhī
jehl-o-iflās ke saa.e haiñ ghanere ab bhī
des āzād hue kitne baras biit ga.e
kitnī shāmoñ ko mile haiñ na savere ab bhī
des ke amn nahīñ amn-e-jahāñ kī ḳhātir
haañ abhī aur abhī aur laḌeñge ham log
aaj ke din kī masarrat ke bhī ma.anī haiñ yahī
tāza-dam ho ke abhī aur baḌheñge ham log
aaj hai pandrah august qaum ke tehwar ka din
aaj ke din hi to aazad hue the hum log
kyon na is din ko masarrat ke liye waqf rakhen
han isi din to ghulami ka fusun toDa tha
kyon na is din ko riwayat ke liye waqf rakhen
des mein apne hain baqi kuchh andhere ab bhi
jehl-o-iflas ke sae hain ghanere ab bhi
des aazad hue kitne baras bit gae
kitni shamon ko mile hain na sawere ab bhi
des ke amn nahin amn-e-jahan ki KHatir
han abhi aur abhi aur laDenge hum log
aaj ke din ki masarrat ke bhi mani hain yahi
taza-dam ho ke abhi aur baDhenge hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.