pandrah august
mausam bahut hasīñ hai fazā ḳhush-gavār hai
har rang ko mizāj-e-chaman sāzgār hai
kaliyoñ pe hai shabāb guloñ par nikhār hai
ye pandrah august kā din yādgār hai
ye din hamāre vāste yaum-e-najāt hai
ab vāqa.ī hayāt hamārī hayāt hai
har ik meñ bhā.ī-chāra hai har ik meñ pyaar hai
ye pandrah august kā din yādgār hai
bād-e-nasīm amn kā paiġhām laa.ī hai
hāthoñ pe ektā ke bhare jaam laa.ī hai
āzādī-e-vatan kā diloñ meñ ḳhumār hai
ye pandrah august kā din yādgār hai
dekhī jo mulk-bhar meñ tirange kī raushnī
surḳhī chamak uThī hai shahīdoñ ke ḳhuun kī
jo phuul hai chaman kī adā par nisār hai
ye pandrah august kā din yādgār hai
āzād aaj ham haiñ ye har ik ko ho yaqīn
bhārat meñ zaat paat ke jhagḌe na hoñ kahīñ
us sā.at-e-hasīñ kā 'la.īq' intizār hai
ye pandrah august kā din yādgār hai
mausam bahut hasin hai faza KHush-gawar hai
har rang ko mizaj-e-chaman sazgar hai
kaliyon pe hai shabab gulon par nikhaar hai
ye pandrah august ka din yaadgar hai
ye din hamare waste yaum-e-najat hai
ab waqai hayat hamari hayat hai
har ek mein bhai-chaara hai har ek mein pyar hai
ye pandrah august ka din yaadgar hai
baad-e-nasim amn ka paigham lai hai
hathon pe ekta ke bhare jam lai hai
aazadi-e-watan ka dilon mein KHumar hai
ye pandrah august ka din yaadgar hai
dekhi jo mulk-bhar mein tirange ki raushni
surKHi chamak uThi hai shahidon ke KHun ki
jo phul hai chaman ki ada par nisar hai
ye pandrah august ka din yaadgar hai
aazad aaj hum hain ye har ek ko ho yaqin
bhaarat mein zat pat ke jhagDe na hon kahin
us saat-e-hasin ka 'laiq' intizar hai
ye pandrah august ka din yaadgar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.