infiradiyat
tumheñ ye uzr hai
tum ko jo dī ga.ī hai zamīñ
vo muḳhtasar hai bahut
jo bāzuoñ meñ sameTo to vo simaT jaa.e
isī liye ho tum ehsās-e-kam-tarī kā shikār
aur un ko kitnī irādat se dekhte ho
jinheñ
zamīñ milī hai hudūd-e-nigāh se bhī bahut duur duur phailī huī
suno
zamīñ kī vus.at to koī chiiz nahīñ
jo nasl aa.egī kal vo hadeñ na nāpegī
faqat ye dekhegī
ki jo latāfat-e-qalb-o-nazar yahāñ par hai
qarīb o duur kahīñ bhī nahīñ
kahīñ bhī nahīñ
tum apne kāñdhoñ pe apnā hī sar tulū karo
safar shurūa karo
tumhein ye uzr hai
tum ko jo di gai hai zamin
wo muKHtasar hai bahut
jo bazuon mein sameTo to wo simaT jae
isi liye ho tum ehsas-e-kam-tari ka shikar
aur un ko kitni iradat se dekhte ho
jinhen
zamin mili hai hudud-e-nigah se bhi bahut dur dur phaili hui
suno
zamin ki wusat to koi chiz nahin
jo nasl aaegi kal wo haden na napegi
faqat ye dekhegi
ki jo latafat-e-qalb-o-nazar yahan par hai
qarib o dur kahin bhi nahin
kahin bhi nahin
tum apne kandhon pe apna hi sar tulu karo
safar shurua karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.