information technology
nizām badal rahā hai
na.e sikke raa.ij ho chuke haiñ
na.e registraroñ par purāne hindise makkhiyoñ kī tarah bhinbhināne lage haiñ
keyboard se zanjīr kiye ga.e haath
saat āsmānoñ par dastak dene kī mashq kar rahe haiñ
newin-sine se bāhar aatī huī laḌkī
ḳhālī jeboñ kī taraf ishāra kar ke muskurātī hai
aur naujavānī sheḳh neck-Tā.eyāñ lagā.e
five-satar hoTaloñ ke bāhar paḌī ḳhālī botaloñ meñ
munnī plant ugāne kī tarbiyat le rahe haiñ
gūñge bahre vāldain
mailī razā.iyoñ meñ paanī kī garm botaloñ se lipaT kar
ābā.ī qabristānoñ kā ḳhvāb dekhte haiñ
aur bachche
music channel kī dhun par
''duniyā ek gaañv hai'' kā naġhma gaate haiñ
nizam badal raha hai
nae sikke raij ho chuke hain
nae registraron par purane hindise makkhiyon ki tarah bhinbhinane lage hain
keyboard se zanjir kiye gae hath
sat aasmanon par dastak dene ki mashq kar rahe hain
newin-sine se bahar aati hui laDki
KHali jebon ki taraf ishaara kar ke muskuraati hai
aur naujawani sheKH neck-Taeyan lagae
fiwe-satar hoTalon ke bahar paDi KHali botalon mein
munni plant ugane ki tarbiyat le rahe hain
gunge bahre waldain
maili razaiyon mein pani ki garm botalon se lipaT kar
aabai qabristanon ka KHwab dekhte hain
aur bachche
music channel ki dhun par
duniya ek ganw hai ka naghma gate hain
- Book : Duniyazad (Pg. 163)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.