inhidam
dastāvezī process mukammal huā
kāhinoñ ġhaib-dānoñ kī fitnagarī ke zamāne fanā ho ga.e
aur anjum-shanāsī ke māhir falak pe badaltī huī zindagī khoj karte hue miT ga.e
nainvā kī khudā.ī se mai kī bharī botaleñ mil ga.iiñ zā.iqe to savā the magar jaane kyuuñ kal-adam ho ga.e
maz.habī āshram kaif kī kapkapāhaT se uryāñ hoī 300 hertz kī chīḳh biphrī kisī samt se
jins-e-ādam ke kānoñ se bahne lagā ḳhuun phaTne lage phephḌe
to mashaqqat ke circle se venus kā mazdūr thakne lagā
in havāoñ meñ uḌte hoī sab parinde ḳhalāoñ meñ gum ho ga.e
yuuñ khule bāzūoñ se baġhal-gīr ushn ke abrū ḳhamīda hue to usī pal meñ ḳhushkī tarī ke sabhī fāsle miT ga.e
arsh vaale farishte muḳhātab hue vo jo naa.eb the ulTe qadam ho liye aaj kī shab sunā hai ki naqqārchī sab bulā.e ga.e
ek sayyār-e-falakī mohalle se kam ho gayā
dastawezi process mukammal hua
kahinon ghaib-danon ki fitnagari ke zamane fana ho gae
aur anjum-shanasi ke mahir falak pe badalti hui zindagi khoj karte hue miT gae
nainwa ki khudai se mai ki bhari botalen mil gain zaiqe to sawa the magar jaane kyun kal-adam ho gae
mazhabi aashram kaif ki kapkapahaT se uryan hoi 300 hertz ki chiKH biphri kisi samt se
jins-e-adam ke kanon se bahne laga KHun phaTne lage phephDe
to mashaqqat ke circle se wenus ka mazdur thakne laga
in hawaon mein uDte hoi sab parinde KHalaon mein gum ho gae
yun khule bazuon se baghal-gir ushn ke abru KHamida hue to usi pal mein KHushki tari ke sabhi fasle miT gae
arsh wale farishte muKHatab hue wo jo naeb the ulTe qadam ho liye aaj ki shab suna hai ki naqqarchi sab bulae gae
ek sayyar-e-falaki mohalle se kam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.