inhiraf
itnī ūñchī āvāz kis kī hai
kis ne dastūr se inhirāf kiyā
is tuutī ke naqqār-ḳhāne meñ
kis ne zanjīr-e-habs ko saaz kiyā
kaun uThtā is jahān-e-sarāsīma meñ
ahl-e-junūñ ne hī tabl se āġhāz kiyā
din manāyā jā rahā hai
ghar ke bāhar
aaj merā ālamī din hai
bahut shor-o-ġhauġhā hai
aur ghar ke andar
kolhū ke bail kī tarah
maiñ apne dā.ere meñ chal rahī huuñ
itni unchi aawaz kis ki hai
kis ne dastur se inhiraf kiya
is tuti ke naqqar-KHane mein
kis ne zanjir-e-habs ko saz kiya
kaun uThta is jahan-e-sarasima mein
ahl-e-junun ne hi tabl se aaghaz kiya
din manaya ja raha hai
ghar ke bahar
aaj mera aalami din hai
bahut shor-o-ghaugha hai
aur ghar ke andar
kolhu ke bail ki tarah
main apne daere mein chal rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.