injala ke liye ek nazm
merā dukh merā ābā.ī makān hai
so
merī beTī
jahāñ se tere jism kī ek buuñd ko mahfūz rakhe hue
maiñ anjāne safar par niklā
aur zamīn bhar ke tamām dukhoñ meñ umr bhar safar kartā rahā
merī beTī
tū ne in lālTenoñ ke maazī ko nahīñ dekhā
jin meñ har raat koī na koī aurat raushan hotī aur phir bujh jaatī
aur bujhī huī aurat dobāra kabhī raushan nahīñ huī
mohabbat ne peḌoñ ko aur peḌoñ ne parchhā.iyoñ ko janam diyā
agar koī bujhī aurat dobāra raushan ho jaatī
to mohabbat us ke peḌ aur us kī parchhā.iyoñ ko
yakjā kar ke ek na.ī duniyā banā.ī jā saktī thī
merī beTī
tū ne edison ke bulb ke zamāne
us kī rātoñ aur us kī parchhā.iyoñ ke darmiyān janam liyā
phir tū ne kisī na kisī raat aur is kī parchhā.īñ ko sameT ke
fuse hote hue bulb ko zarūr dekhā hogā
magar kyā tū dekh saktī hai
ki jab edison kā koī bulb fuse hotā hai
to us ke hisse kī raat bhī us meñ fuse ho jaatī hai
aur fuse hone vaalī raat dobāra zamīn par kabhī huī hī nahīñ
merī beTī
tū ne apnī maañ ke batn se janam lene vaalī
apnī DeḌh maah kī bahan ko marte hue nahīñ dekhā
ki jab us ke hisse kī raat us ke bulb
to us ke hisse kī raat bhī us meñ fuse ho jaatī hai
aur fuse hone vaalī raat dobāra zamīn par kabhī huī hī nahīñ
merī beTī
tū ne apnī maañ ke batn se janam lene vaalī
apnī DeḌh maah kī bahan ko marte hue nahīñ dekhā
ki jab us ke hisse kī raat us ke bulb
aur is kī parchhā.īñ bhī
us kī nannhī qabr meñ dafn ho ga.ī thī
merī beTī
zarā dekh to sahī zamīn par kitnā vaqt guzar chukā
aur kitnā vaqt guzarne ko baaqī hai
agar tū apne dil se mere dil tak ek raah banā sake
to is meñ der na kar
phir raah se raah banā
aur har us nadī meñ utar jā
jo tere baap kī umr bhar ke āñsuoñ se banī huī āñkhoñ
aur un se bane hue dukhoñ se bahtī huī aa.ī hai
merī beTī
har nadī kā intizār karte hue samundar meñ utar jā
samundar merā dil hai
us dil meñ kuchh ghaḌī ruk ke zarā dekh
ki tujh meñ ab tak kitnā zinda huuñ
so is se pahle ki
maiñ tere dekhte dekhte mar jā.ūñ
samundar meñ utar jā
mera dukh mera aabai makan hai
so
meri beTi
jahan se tere jism ki ek bund ko mahfuz rakhe hue
main anjaane safar par nikla
aur zamin bhar ke tamam dukhon mein umr bhar safar karta raha
meri beTi
tu ne in lalTenon ke mazi ko nahin dekha
jin mein har raat koi na koi aurat raushan hoti aur phir bujh jati
aur bujhi hui aurat dobara kabhi raushan nahin hui
mohabbat ne peDon ko aur peDon ne parchhaiyon ko janam diya
agar koi bujhi aurat dobara raushan ho jati
to mohabbat us ke peD aur us ki parchhaiyon ko
yakja kar ke ek nai duniya banai ja sakti thi
meri beTi
tu ne edison ke bulb ke zamane
us ki raaton aur us ki parchhaiyon ke darmiyan janam liya
phir tu ne kisi na kisi raat aur is ki parchhain ko sameT ke
fuse hote hue bulb ko zarur dekha hoga
magar kya tu dekh sakti hai
ki jab edison ka koi bulb fuse hota hai
to us ke hisse ki raat bhi us mein fuse ho jati hai
aur fuse hone wali raat dobara zamin par kabhi hui hi nahin
meri beTi
tu ne apni man ke batn se janam lene wali
apni DeDh mah ki bahan ko marte hue nahin dekha
ki jab us ke hisse ki raat us ke bulb
to us ke hisse ki raat bhi us mein fuse ho jati hai
aur fuse hone wali raat dobara zamin par kabhi hui hi nahin
meri beTi
tu ne apni man ke batn se janam lene wali
apni DeDh mah ki bahan ko marte hue nahin dekha
ki jab us ke hisse ki raat us ke bulb
aur is ki parchhain bhi
us ki nannhi qabr mein dafn ho gai thi
meri beTi
zara dekh to sahi zamin par kitna waqt guzar chuka
aur kitna waqt guzarne ko baqi hai
agar tu apne dil se mere dil tak ek rah bana sake
to is mein der na kar
phir rah se rah bana
aur har us nadi mein utar ja
jo tere bap ki umr bhar ke aansuon se bani hui aankhon
aur un se bane hue dukhon se bahti hui aai hai
meri beTi
har nadi ka intizar karte hue samundar mein utar ja
samundar mera dil hai
us dil mein kuchh ghaDi ruk ke zara dekh
ki tujh mein ab tak kitna zinda hun
so is se pahle ki
main tere dekhte dekhte mar jaun
samundar mein utar ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.