injimad
ātishīñ zahr ke sailāb meñ bahtā manzar
aks-dar-aks
rag-o-pai meñ utar aaya hai
sāya-e-ḳhauf meñ Duubī huī
sāñsoñ ke charāġhoñ kī laveñ TuuT ga.iiñ
bujh ga.e shams-o-qamar
ho ga.e yaḳh-basta nujūm
tīrgī hadd-e-nazar
duur talak sannāTā
koī aahaT na sadā hai koī
jaane kab raat kā jaadū TuuTe
aur nigāhoñ pe jamī barf ghule
aatishin zahr ke sailab mein bahta manzar
aks-dar-aks
rag-o-pai mein utar aaya hai
saya-e-KHauf mein Dubi hui
sanson ke charaghon ki lawen TuT gain
bujh gae shams-o-qamar
ho gae yaKH-basta nujum
tirgi hadd-e-nazar
dur talak sannaTa
koi aahaT na sada hai koi
jaane kab raat ka jadu TuTe
aur nigahon pe jami barf ghule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.