paanī jam kar huā rupahlā
barf hai lekin sard nahīñ hai
sūkhī maaTī par dhundhalkā
kohrā hogā gard nahīñ hai
sukh ma.asūm hai chhupā nahīñ hai
ġham koī bhī fard nahīñ hai
ye sab jo kahtī rahtī huuñ
ye merā dīvāna-pan hai
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
paTTī bāñdh rakhī unglī par
gahre bhed gayā thā nashtar
kahtī rahtī thī vo sab se
haath pakaḌ par dekh sañbhal kar
zaḳhm achhūtā rakh kar chhū le
hai koī hamdard nahīñ hai
Dar bas zaḳhm ke risne kā hai
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
is ko koī chhoḌ gayā hai
is ko koī toḌ gayā hai
rishtoñ kī dīvār surḳh hai
sar koī phir phoḌ gayā hai
toḌ gayā jo chhoḌ gayā jo
dil us kā be-dard nahīñ hai
TuuTe chhūTe dil hañste haiñ
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
sab ne sach kā svaad chakhā hai
kaun sakhī hai kaun sakhā hai
silvaT bhar muskān kā pardā
ruḳh se ruḳh tak oḌh rakhā hai
kāġhaz kā naqlī guldasta
sūkhā hai par zard nahīñ hai
dekho sab haiñ shaad yahāñ par
kin dhāgoñ ne bāñdhā ham ko
kin dhāgoñ ko bāñdhā ham ne
phuul gāñTh se bāñdhī ḳhushiyāñ
gāñTh se gāñTh ko bāñdhā ġham ne
gāñTh gaThīlā jīvan saarā
in gāñThoñ kā mel nahīñ hai
kyoñ suljhā.eñ kaaT na deñ kyoñ
jaal hai āḳhir jail nahīñ hai
kuchh majbūr haiñ kuchh haiñ aadī
kuchh itne be-dard nahīñ haiñ
haal jo pūchho sab baḌhiyā hai
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
dard nahīñ hai dard nahīñ hai
pani jam kar hua rupahla
barf hai lekin sard nahin hai
sukhi maTi par dhundhalka
kohra hoga gard nahin hai
sukh masum hai chhupa nahin hai
gham koi bhi fard nahin hai
ye sab jo kahti rahti hun
ye mera diwana-pan hai
dard nahin hai dard nahin hai
dard nahin hai dard nahin hai
paTTi bandh rakhi ungli par
gahre bhed gaya tha nashtar
kahti rahti thi wo sab se
hath pakaD par dekh sanbhal kar
zaKHm achhuta rakh kar chhu le
hai koi hamdard nahin hai
Dar bas zaKHm ke risne ka hai
dard nahin hai dard nahin hai
is ko koi chhoD gaya hai
is ko koi toD gaya hai
rishton ki diwar surKH hai
sar koi phir phoD gaya hai
toD gaya jo chhoD gaya jo
dil us ka be-dard nahin hai
TuTe chhuTe dil hanste hain
dard nahin hai dard nahin hai
sab ne sach ka swad chakha hai
kaun sakhi hai kaun sakha hai
silwaT bhar muskan ka parda
ruKH se ruKH tak oDh rakha hai
kaghaz ka naqli guldasta
sukha hai par zard nahin hai
dekho sab hain shad yahan par
kin dhagon ne bandha hum ko
kin dhagon ko bandha hum ne
phul ganTh se bandhi KHushiyan
ganTh se ganTh ko bandha gham ne
ganTh gaThila jiwan sara
in ganThon ka mel nahin hai
kyon suljhaen kaT na den kyon
jal hai aaKHir jail nahin hai
kuchh majbur hain kuchh hain aadi
kuchh itne be-dard nahin hain
haal jo puchho sab baDhiya hai
dard nahin hai dard nahin hai
dard nahin hai dard nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.