inkishaf
titliyoñ ke paañv meñ phuul phuul zanjīreñ
ḳhushbuoñ kī bastī meñ ḳhvāb ḳhvāb ta.abīreñ
hai bas ek hī ḳhvāhish
raag rañg duniyā meñ
dil kī tañg duniyā meñ
likh sakūñ kabhī maiñ bhī
raat ke sahīfe par chāñdnī kī tahrīreñ
āḳhirī munājāteñ
āsmān kī bāteñ
kuchh bhī ho nahīñ saktā
aaj apnī marzī se
tū bhī hañs nahīñ saktā
maiñ bhī ro nahīñ saktā
titliyon ke panw mein phul phul zanjiren
KHushbuon ki basti mein KHwab KHwab tabiren
hai bas ek hi KHwahish
rag rang duniya mein
dil ki tang duniya mein
likh sakun kabhi main bhi
raat ke sahife par chandni ki tahriren
aaKHiri munajaten
aasman ki baaten
kuchh bhi ho nahin sakta
aaj apni marzi se
tu bhi hans nahin sakta
main bhi ro nahin sakta
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 492)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.