innocence
mire bachche ne jab mujh se kahā mammā
zarā jugnū mujhe lā do
mujhe titlī ke rañgoñ ko bhī chhūnā hai
sitāre āsmāñ par hī uge haiñ kyuuñ
zamīñ par kyuuñ nahīñ aate
mujhe bas chāñd lā do us se khelūñgā
maiñ chauñk uTThī
yahī kuchh maiñ ne apnī maañ se pūchhā thā
mirā ma.asūm sā bachpan
jo muTThī se phisal kar kho gayā shāyad
mirā bachcha jo merā aaj hai
aur aane vaalā ik hasīñ kal hai
lahū meñ us kī bātoñ se hī halchal hai
ye merā qīmtī pal hai
mirā bachcha hasīñ ta.abīr ban kar sāmne hai aur
maazī ḳhvāb lagtā hai
to kyā maiñ ḳhvāb se aage nikal aa.ī
mere bachche ne jab mujh se kaha mamma
zara jugnu mujhe la do
mujhe titli ke rangon ko bhi chhuna hai
sitare aasman par hi uge hain kyun
zamin par kyun nahin aate
mujhe bas chand la do us se khelunga
main chaunk uTThi
yahi kuchh main ne apni man se puchha tha
mera masum sa bachpan
jo muTThi se phisal kar kho gaya shayad
mera bachcha jo mera aaj hai
aur aane wala ek hasin kal hai
lahu mein us ki baaton se hi halchal hai
ye mera qimti pal hai
mera bachcha hasin tabir ban kar samne hai aur
mazi KHwab lagta hai
to kya main KHwab se aage nikal aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.