inqalab
tamām umr maiñ lamhoñ ko qatl kartā rahā
bas ik lamha bahut din se muntazir thā mirā
vo ek lamha bahut din se iztirāb meñ thā
vo ek lamha musalsal kisī azaab meñ thā
vo ek lamha jo baaqī mire hisāb meñ thā
guzashta lamhoñ kā saarā hisāb us ne liyā
us ek lamhe ne phir mujh ko qatl kar hī diyā
har ek zulm kā hai ik javāb kahte haiñ
samajh sako to ise inqalāb kahte haiñ
tamam umr main lamhon ko qatl karta raha
bas ek lamha bahut din se muntazir tha mera
wo ek lamha bahut din se iztirab mein tha
wo ek lamha musalsal kisi azab mein tha
wo ek lamha jo baqi mere hisab mein tha
guzashta lamhon ka sara hisab us ne liya
us ek lamhe ne phir mujh ko qatl kar hi diya
har ek zulm ka hai ek jawab kahte hain
samajh sako to ise inqalab kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.