insan ki fariyaad
haañ ai masāf-e-hastī! mat pūchh mujh se kyā huuñ
ik arsa-e-balā huuñ ik luqma-e-fanā huuñ
majbūriyoñ ne Daalā gardan meñ merī phandā
ḳhud-karda-e-vafā huuñ jāñ-dāda-e-razā huuñ
sayyād hādse kā kartā hai merā pīchhā
murġh-e-burīda-par huuñ said-e-shikasta-pā huuñ
hai zaat merī majma.a saarī burā.iyoñ kā
kahne ko maiñ baḌā huuñ lekin bahut burā huuñ
āzādiyoñ kī mujh par tohmat hī hai sarāsar
maiñ qaidī-e-havas huuñ maiñ banda-e-havā huuñ
ik baat ho batā.ūñ ik dard ho sunā.ūñ
ro.uuñ bhalā kahāñ tak kab tak paḌā karāhūñ
kam-baḳht dil kuchh aisā maiñ saath le ke aayā
ik lamha jis ke hāthoñ duniyā meñ sukh na paayā
jo josh is meñ uTThā hālāt ne dabāyā
jo sho.ala is meñ bhaḌkā taqdīr ne bujhāyā
ummīd kā ye ġhuncha khilte kabhī na dekhā
ye aarzū kā paudā phaltā nazar na aayā
go is meñ maujzan thī qaum o vatan kī ulfat
lekin ġharaz ne is ko kuchh aur hī sikhāyā
hotī nahīñ rasā.ī ummīd ke ufuq tak
tūl-e-amal ne is ko ik jaal meñ phañsāyā
kī rahbarī ḳhirad ne har-chand rahnumā.ī
is juhd par bhī lekin khultī nahīñ sachchā.ī
paayā na maiñ ne ab tak maqsad kā apne sāhil
kī bahr-e-ma.arfat meñ din raat āshnā.ī
is justujū meñ maiñ ne kī sair-e-tūr-o-aiman
parbat ko ghar banāyā jangal se lau lagā.ī
mandir ko jā ke dekhā girjā meñ jā ke DhūñDā
masjid ko chhān maarā us kī na diid paa.ī
jogī kā ruup dhārā ban meñ kiyā guzārā
tan par bhabhūt mal kar dhūnī bahut ramā.ī
jap tap meñ umr apnī maiñ ne basar kī aksar
ban ban ke pīr-e-rāhib jā ḳhānqāh basā.ī
suufī bhī ban ke dekhā aur rind-e-be-riyā bhī
kar nāra-e-anā-al-haq ik khalbalī machā.ī
phirtī haiñ maarī maarī mushtāq-e-jalva āñkheñ
par ik jhalak se baḌh kar detā nahīñ dikhā.ī
uTh jā nazar se merī haañ ai hijāb-e-hastī
husn-e-azal nihāñ hai zer-e-naqāb-e-hastī
ye zindagī-e-insāñ ik ḳhvāb hai pareshāñ
bedārī-e-adam hai ta.abīr-e-ḳhvāb-e-hastī
dekheñ agar to kyūñ-kar ham jalva-e-ma.ārif
tū zulmat-e-nazar hai ai āftāb-e-hastī
taskīñ ko zahr-e-qātil āb-o-havā-e-ālam
rāhat kā dushman-e-jāñ har inqalāb-e-hastī
ai tishna-e-haqīqat dhoke meñ tū na aanā
ik dām-e-pur-ḳhatar hai mauj-e-sarāb-e-hastī
chāhe agar rihā.ī pesh-az-fanā fanā ho
pādāsh-e-jurm-e-hastī hai ye azāb-e-hastī
han ai masaf-e-hasti! mat puchh mujh se kya hun
ek arsa-e-bala hun ek luqma-e-fana hun
majburiyon ne Dala gardan mein meri phanda
KHud-karda-e-wafa hun jaan-dada-e-raza hun
sayyaad hadse ka karta hai mera pichha
murgh-e-burida-par hun said-e-shikasta-pa hun
hai zat meri majma sari buraiyon ka
kahne ko main baDa hun lekin bahut bura hun
aazadiyon ki mujh par tohmat hi hai sarasar
main qaidi-e-hawas hun main banda-e-hawa hun
ek baat ho bataun ek dard ho sunaun
roun bhala kahan tak kab tak paDa karahun
kam-baKHt dil kuchh aisa main sath le ke aaya
ek lamha jis ke hathon duniya mein sukh na paya
jo josh is mein uTTha haalat ne dabaya
jo shoala is mein bhaDka taqdir ne bujhaya
ummid ka ye ghuncha khilte kabhi na dekha
ye aarzu ka pauda phalta nazar na aaya
go is mein maujzan thi qaum o watan ki ulfat
lekin gharaz ne is ko kuchh aur hi sikhaya
hoti nahin rasai ummid ke ufuq tak
tul-e-amal ne is ko ek jal mein phansaya
ki rahbari KHirad ne har-chand rahnumai
is juhd par bhi lekin khulti nahin sachchai
paya na main ne ab tak maqsad ka apne sahil
ki bahr-e-marfat mein din raat aashnai
is justuju mein main ne ki sair-e-tur-o-aiman
parbat ko ghar banaya jangal se lau lagai
mandir ko ja ke dekha girja mein ja ke DhunDa
masjid ko chhan mara us ki na did pai
jogi ka rup dhaara ban mein kiya guzara
tan par bhabhut mal kar dhuni bahut ramai
jap tap mein umr apni main ne basar ki aksar
ban ban ke pir-e-rahib ja KHanqah basai
sufi bhi ban ke dekha aur rind-e-be-riya bhi
kar nara-e-ana-al-haq ek khalbali machai
phirti hain mari mari mushtaq-e-jalwa aankhen
par ek jhalak se baDh kar deta nahin dikhai
uTh ja nazar se meri han ai hijab-e-hasti
husn-e-azal nihan hai zer-e-naqab-e-hasti
ye zindagi-e-insan ek KHwab hai pareshan
bedari-e-adam hai tabir-e-KHwab-e-hasti
dekhen agar to kyun-kar hum jalwa-e-maarif
tu zulmat-e-nazar hai ai aaftab-e-hasti
taskin ko zahr-e-qatil aab-o-hawa-e-alam
rahat ka dushman-e-jaan har inqalab-e-hasti
ai tishna-e-haqiqat dhoke mein tu na aana
ek dam-e-pur-KHatar hai mauj-e-sarab-e-hasti
chahe agar rihai pesh-az-fana fana ho
padash-e-jurm-e-hasti hai ye azab-e-hasti
- Book : Intekhabe Kalam (Pg. 8)
- Author : Ghulam Bhek Nairang
- Publication : Oxford University Press Pakistan (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.