insan
koī daanā ye pūchhtā thā savāl
ḳhākī insāñ meñ aisā kyā hai kamāl
naa.eb allāh kā ye ban baiThā
nahīñ miltī kahīñ bhī is kī misāl
is kā uqda nahīñ khulā ab tak
kyoñ kiyā is ko yuuñ buland-iqbāl
ye to majbūr apnī zaat meñ hai
vo ahad vo samad vo izz-o-jalāl
ye taġhayyur ke saath jiitā hai
shaan us kī kamāl-e-istiqlāl
yuuñ to maḳhlūq hai magar phir bhī
kahīñ ausāf meñ kabhī ho visāl
is kī tārīf kyā kare koī
jab majāzī sifāt-e-husn-o-jamāl
us kī tārīf kyā bayān karūñ
chāhiye ik ḳhazīnat-ul-amsāl
jam.a azdād is ke vasf meñ haiñ
aur vo ausāf meñ kamāl-e-kamāl
is ke dil ko TaToliye to kabhī
nuur hai nuur kā kabhī ibtāl
ik taraf intihā pe haiñ hasanāt
ik taraf muntahā-e-sharr-o-zalāl
kabhī aflāk tak rasā.ī hai
kabhī tahtussarā meñ rū-ba-zavāl
kabhī allāh kā payambar hai
koī fir.aun sā shanī’ ḳhisāl
kabhī inkār meñ anā rabbī
aur anal-haq kabhī ba-pesh-e-jamāl
kabhī duniyā meñ jannateñ ābād
kabhī firdaus chhoḌne pe malāl
kabhī mehnat-kashī meñ lā-sānī
aur kabhī ġharq-e-bahr-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl
kabhī qārūn kī shahanshāhī
kabhī fāqoñ ke saath akl-e-halāl
kabhī dānish meñ ye hai aflātūn
aur kabhī fahm meñ hai jehl misāl
kabhī darmāndagī se pazhmurda
kabhī ummīd se quā haiñ bahāl
kabhī ajrām par kamand-rasā
aur kabhī zāviyoñ meñ mast bahāl
kabhī uzlat-nashīñ pahāḌoñ meñ
kabhī masrūfiyat meñ jang-o-jidāl
kabhī andesha-hā-e-sūd-o-ziyāñ
aur kabhī aql se tahī a.amāl
kabhī ta.amīr kā alam-bardār
kabhī taḳhrīb par kare na malāl
kabhī nāqūs o dair kā hai asiir
kabhī sahrāoñ meñ sadā-e-bilāl
koi dana ye puchhta tha sawal
KHaki insan mein aisa kya hai kamal
naeb allah ka ye ban baiTha
nahin milti kahin bhi is ki misal
is ka uqda nahin khula ab tak
kyon kiya is ko yun buland-iqbaal
ye to majbur apni zat mein hai
wo ahad wo samad wo izz-o-jalal
ye taghayyur ke sath jita hai
shan us ki kamal-e-istiqlal
yun to maKHluq hai magar phir bhi
kahin ausaf mein kabhi ho visal
is ki tarif kya kare koi
jab majazi sifat-e-husn-o-jamal
us ki tarif kya bayan karun
chahiye ek KHazinat-ul-amsal
jama azdad is ke wasf mein hain
aur wo ausaf mein kamal-e-kamal
is ke dil ko TaToliye to kabhi
nur hai nur ka kabhi ibtal
ek taraf intiha pe hain hasanat
ek taraf muntaha-e-sharr-o-zalal
kabhi aflak tak rasai hai
kabhi tahtussara mein ru-ba-zawal
kabhi allah ka payambar hai
koi firaun sa shani’ KHisal
kabhi inkar mein ana rabbi
aur anal-haq kabhi ba-pesh-e-jamal
kabhi duniya mein jannaten aabaad
kabhi firdaus chhoDne pe malal
kabhi mehnat-kashi mein la-sani
aur kabhi gharq-e-bahr-e-KHwab-o-KHayal
kabhi qarun ki shahanshahi
kabhi faqon ke sath akl-e-halal
kabhi danish mein ye hai aflatun
aur kabhi fahm mein hai jehl misal
kabhi darmandagi se pazhmurda
kabhi ummid se qua hain bahaal
kabhi ajram par kamand-rasa
aur kabhi zawiyon mein mast bahaal
kabhi uzlat-nashin pahaDon mein
kabhi masrufiyat mein jang-o-jidal
kabhi andesha-ha-e-sud-o-ziyan
aur kabhi aql se tahi aamal
kabhi tamir ka alam-bardar
kabhi taKHrib par kare na malal
kabhi naqus o dair ka hai asir
kabhi sahraon mein sada-e-bilal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.