kabhī khul ke jab khilkhilātī hai inshā
fazāoñ meñ sargam bajātī hai inshā
har ik lab pe titlī biThātī hai inshā
jhaḌī qahqahoñ kī lagātī hai inshā
masarrat kī duniyā basātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kabhī māysha ko hañsātī hai inshā
kabhī māysha ko rulātī hai inshā
kabhī paas us ko bulātī hai inshā
kabhī duur us ko bhagātī hai inshā
bahan se to kasrat karātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kahānī sunātī hai naanī ko inshā
adā.eñ dikhātī hai naanī ko inshā
masarrat dilātī hai naanī ko inshā
divāna banātī hai naanī ko inshā
javānī buḌhāpe meñ laatī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kabhī DhūñD laatī hai naanū kā chashma
kabhī pheñk aatī hai naanū kā chashma
kabhī ḳhud lagātī hai naanū kā chashma
kahīñ se bhī paatī hai naanū kā chashma
to āvāz fauran lagātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
mobile par is tarah uñglī ghumā.e
ki jaise koī shaḳhs jaadū chalā.e
mobile ke parde pe hairat ugaa.e
hazāroñ tarah ke karishme dikhā.e
dikhā kar karishme rijhātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kabhī koī khāne kā manzar dikhā.e
kabhī apnī uñglī se pizza banā.e
kabhī to mazedār murġhā pakā.e
salādoñ se khāne kī thālī sajā.e
kabhī chaa.e kaafī pilātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
falak paas jā kar kabhī muskurātī
kabhī chheḌtī to kabhī gudgudātī
mahak ko kabhī apnā kartab dikhātī
kabhī baby nannā ko poem sunātī
har ik aadmī ko lubhātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
malāhat meñ is kī chamak hai ġhazab kī
sarāpe meñ is ke lachak hai ġhazab kī
sadāoñ meñ is kī khanak hai ġhazab kī
adāoñ meñ is kī chahak hai ġhazab kī
ġhazab kā nazārā dikhātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
chahetī kisī kī kisī kī dulārī
kisī ko lage saare duniyā se nyārī
kisī ko ho mahsūs phūloñ se bhārī
sunny ko to hai jān-o-dil se bhī pyārī
bahut aamna ko bhī bhātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
mobile pe abbā ko dekhe to Dole
chahak kar lapak kar zabāñ apnī khole
masarrat se labrez alfāz bole
shahd kaan meñ apne abbā ke ghole
qatar tak mohabbat luTātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
mobile pe farhān ḳhaañ kī zabānī
har ik raat suntī hai vo ik kahānī
kahānī meñ aatī hai jab koī raanī
to bachchī se ban jaatī hai vo siyānī
bahut daad abbā se paatī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kabhī apne ghoḌe se bhauñ bhauñ karā.e
kabhī sher chīte ko bakrī banā.e
kabhī sar pe billī ke hāthī biThā.e
kabhī doremon ko bhī paTTī paḌhāye
anokhe tamāshe dikhātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
magar khāne piine se jī hai churātī
zarā der meñ muñh meñ luqma girātī
bahut apnī ammāñ se kasrat karātī
kabhī naach tigḌī kā bhī vo nachātī
khilāne meñ pāgal banātī hai inshā
mire ghar ko jannat banātī hai inshā
kabhi khul ke jab khilkhilati hai insha
fazaon mein sargam bajati hai insha
har ek lab pe titli biThati hai insha
jhaDi qahqahon ki lagati hai insha
masarrat ki duniya basati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
kabhi maysha ko hansati hai insha
kabhi maysha ko rulati hai insha
kabhi pas us ko bulati hai insha
kabhi dur us ko bhagati hai insha
bahan se to kasrat karaati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
kahani sunati hai nani ko insha
adaen dikhati hai nani ko insha
masarrat dilati hai nani ko insha
diwana banati hai nani ko insha
jawani buDhape mein lati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
kabhi DhunD lati hai nanu ka chashma
kabhi phenk aati hai nanu ka chashma
kabhi KHud lagati hai nanu ka chashma
kahin se bhi pati hai nanu ka chashma
to aawaz fauran lagati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
mobile par is tarah ungli ghumae
ki jaise koi shaKHs jadu chalae
mobile ke parde pe hairat ugae
hazaron tarah ke karishme dikhae
dikha kar karishme rijhati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
kabhi koi khane ka manzar dikhae
kabhi apni ungli se pizza banae
kabhi to mazedar murgha pakae
saladon se khane ki thaali sajae
kabhi chae kafi pilati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
falak pas ja kar kabhi muskuraati
kabhi chheDti to kabhi gudgudati
mahak ko kabhi apna kartab dikhati
kabhi baby nanna ko poem sunati
har ek aadmi ko lubhati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
malahat mein is ki chamak hai ghazab ki
sarape mein is ke lachak hai ghazab ki
sadaon mein is ki khanak hai ghazab ki
adaon mein is ki chahak hai ghazab ki
ghazab ka nazara dikhati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
chaheti kisi ki kisi ki dulari
kisi ko lage sare duniya se nyari
kisi ko ho mahsus phulon se bhaari
sunny ko to hai jaan-o-dil se bhi pyari
bahut aamna ko bhi bhati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
mobile pe abba ko dekhe to Dole
chahak kar lapak kar zaban apni khole
masarrat se labrez alfaz bole
shahd kan mein apne abba ke ghole
qatar tak mohabbat luTati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
mobile pe farhan KHan ki zabani
har ek raat sunti hai wo ek kahani
kahani mein aati hai jab koi rani
to bachchi se ban jati hai wo siyani
bahut dad abba se pati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
kabhi apne ghoDe se bhaun bhaun karae
kabhi sher chite ko bakri banae
kabhi sar pe billi ke hathi biThae
kabhi doremon ko bhi paTTi paDhaye
anokhe tamashe dikhati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
magar khane pine se ji hai churaati
zara der mein munh mein luqma giraati
bahut apni amman se kasrat karaati
kabhi nach tigDi ka bhi wo nachati
khilane mein pagal banati hai insha
mere ghar ko jannat banati hai insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.