insilak
kaun sā din mirī āñkhoñ ko lagegā achchhā
kaun sī raat mire ḳhvāb meñ tum aaoge
kaun sī rut meñ chaman phūloñ se bhar jā.egā
kaun se dar pe kisī roz vo dastak hogī
sab savāloñ ke javāboñ meñ hai ib.hām bahut
bāñdh kar raḳht-e-safar sil se jo ham pūchhte haiñ
dāman-e-hijr se lipTe hue ġham ik pal ko
dil ko andesha-e-taqvīm se kar ke āzād
nabz-e-ummīd chalāne kā hunar jānte haiñ
chāhtā huuñ ki kuchh aise bhī safar hoñ darpesh
jin meñ ḳhud raste musāfir ke qadam ho jaa.eñ
manzileñ dauḌ paḌeñ ḳhud se hamārī jānib
ḳhvāb-dar-ḳhvāb jaleñ lazzat-e-imkāñ ke charāġh
aur mil jaa.eñ sabhī tishna savāloñ ke javāb
kaun sa din meri aankhon ko lagega achchha
kaun si raat mere KHwab mein tum aaoge
kaun si rut mein chaman phulon se bhar jaega
kaun se dar pe kisi roz wo dastak hogi
sab sawalon ke jawabon mein hai ibham bahut
bandh kar raKHt-e-safar sil se jo hum puchhte hain
daman-e-hijr se lipTe hue gham ek pal ko
dil ko andesha-e-taqwim se kar ke aazad
nabz-e-ummid chalane ka hunar jaante hain
chahta hun ki kuchh aise bhi safar hon darpesh
jin mein KHud raste musafir ke qadam ho jaen
manzilen dauD paDen KHud se hamari jaanib
KHwab-dar-KHwab jalen lazzat-e-imkan ke charagh
aur mil jaen sabhi tishna sawalon ke jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.