intellectual
thā husn-e-ittifāq ki tea-corner meñ kal
qismat se merī mil ga.e ik intellectual
baiThe hue the zāviya-e-qā.ima bane
jaise mahāz par ho koī field-marshal
rakkhā thā portfolio bag ek mez par
aur us se muttasil thiiñ kitābeñ double double
moTī sī magazine bhī thī ik dharī huī
jis ke sar-e-varaq pe the sir-john-michael
yuuñ ālam-e-ḳhayāl meñ Duube hue the aap
jaise dimāġh meñ ho kisī mas.ale kā hal
uljhe hue the baal hajāmat bhī thī baḌhī
chehre pe idda.ā-e-matānat jabīn pe bal
maiñ ne ba-sad ḳhulūs-o-adab chaa.e pesh kī
aur us ke baa'd aayā ruḳh-e-guftugū nikal
mausam ke tazkire se chalī baat adab kī samt
apnī jagah par aap kā har qaul thā aTal
har baat meñ kahīñ kā havāla zarūr thā
is se ġharaz na thī ki havāla ho bar-mahal
urdu ke irtiqā kī taraf baat jab muḌī
kahne lage ki tez hai raftār āj-kal
maiñ ne kahā ki zehn abhī tak ġhulām haiñ
jaatā nahīñ dimāġh se taqlīd kā ḳhalal
afkār musta.ār haiñ taḳh.īl musta.ār
har nukta be-maqām hai har lafz be-mahal
tanqīd chheḌ-chhāḌ hai tahqīq khod-khād
chalte haiñ yuuñ qalam ki chale jis tarah se hal
afsānoñ ke mizāj meñ afsāna-pan nahīñ
is shutr-e-be-mahār kī sīdhī hai kaun kal
pariyoñ ke badle is meñ mashīnoñ kā naach hai
ik Jute mill banā hai parī-ḳhāna-e-ġhazal
pahle thā fārsī ke tatabbo par iftiḳhār
ab maġhribī adab kī ġhulāmī hai be-ḳhalal
bole fuzūl aap na bakvās kījiye
ab kārvān-e-fikr kī rāheñ ga.iiñ badal
maiñ ne kahā ki chand adīboñ kā naam leñ
apnī Dagar banā ke jo chalte haiñ āj-kal
bole ki ek monsieur-jean-paul sartre
jis ne banā diyā hai hameñ intellectual
aur dūsrā hai james-joyce adīb-e-asr
purze dil-o-dimāġh ke detā hai jo badal
maiñ ne kahā huzūr ye urdu kā thā savāl
bole ki aap bahs kareñ mujh se ye majāl
tha husn-e-ittifaq ki tea-corner mein kal
qismat se meri mil gae ek intellectual
baiThe hue the zawiya-e-qaima bane
jaise mahaz par ho koi field-marshal
rakkha tha portfolio bag ek mez par
aur us se muttasil thin kitaben double double
moTi si magazine bhi thi ek dhari hui
jis ke sar-e-waraq pe the sir-john-michael
yun aalam-e-KHayal mein Dube hue the aap
jaise dimagh mein ho kisi masale ka hal
uljhe hue the baal hajamat bhi thi baDhi
chehre pe iddaa-e-matanat jabin pe bal
main ne ba-sad KHulus-o-adab chae pesh ki
aur us ke ba'd aaya ruKH-e-guftugu nikal
mausam ke tazkire se chali baat adab ki samt
apni jagah par aap ka har qaul tha aTal
har baat mein kahin ka hawala zarur tha
is se gharaz na thi ki hawala ho bar-mahal
urdu ke irtiqa ki taraf baat jab muDi
kahne lage ki tez hai raftar aaj-kal
main ne kaha ki zehn abhi tak ghulam hain
jata nahin dimagh se taqlid ka KHalal
afkar mustaar hain taKHil mustaar
har nukta be-maqam hai har lafz be-mahal
tanqid chheD-chhaD hai tahqiq khod-khad
chalte hain yun qalam ki chale jis tarah se hal
afsanon ke mizaj mein afsana-pan nahin
is shutr-e-be-mahaar ki sidhi hai kaun kal
pariyon ke badle is mein mashinon ka nach hai
ek Jute mill bana hai pari-KHana-e-ghazal
pahle tha farsi ke tatabbo par iftiKHar
ab maghribi adab ki ghulami hai be-KHalal
bole fuzul aap na bakwas kijiye
ab karwan-e-fikr ki rahen gain badal
main ne kaha ki chand adibon ka nam len
apni Dagar bana ke jo chalte hain aaj-kal
bole ki ek monsieur-jean-paul sartre
jis ne bana diya hai hamein intellectual
aur dusra hai james-joyce adib-e-asr
purze dil-o-dimagh ke deta hai jo badal
main ne kaha huzur ye urdu ka tha sawal
bole ki aap bahs karen mujh se ye majal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.