intibah
hamārī rasm hai
tum jānte ho
ka.ī sadiyoñ se ham ye kar rahe haiñ
baḌī mehnat se ḳhūn-e-dil jalā kar
sub.h-o-shab nuur āñkhoñ ko pilā kar
tarāshe sang-e-marmar saḳht patthar
aur un se ḳhūb-sūrat but banā.e
biThā kar mandiroñ meñ vediyoñ par
unheñ puujā unheñ sajde kiye haiñ
hamārī rasm hai
tum jānte ho
ki khanDit ho ga.ī hai mūrtī jab
to ham ne taj diyā
dekhā na muḌ kar
vo tanhā rah ga.e yug kī Dagar par
na koī bhakt na koī pujārī
na koī aartī
na dhuup dīpak
ziyāda se ziyāda ye huā hai
'ajā.ib ghar kī zīnat ho ga.e haiñ
hamārī rasm hī chūñki yahī hai
tumhārā farz hai
muhtāt rahnā
shikast-o-reḳht se ḳhud ko bachānā
sanam ho gosht ke zinda
yā patthar
ḳharāsh aa.ī agar ruḳh par badan par
to koī bhī tumheñ sajda na hogā
agar sālim rahe
sajde bhī hoñge
hamari rasm hai
tum jaante ho
kai sadiyon se hum ye kar rahe hain
baDi mehnat se KHun-e-dil jala kar
subh-o-shab nur aankhon ko pila kar
tarashe sang-e-marmar saKHt patthar
aur un se KHub-surat but banae
biTha kar mandiron mein wediyon par
unhen puja unhen sajde kiye hain
hamari rasm hai
tum jaante ho
ki khanDit ho gai hai murti jab
to hum ne taj diya
dekha na muD kar
wo tanha rah gae yug ki Dagar par
na koi bhakt na koi pujari
na koi aarti
na dhup dipak
ziyaada se ziyaada ye hua hai
'ajaib ghar ki zinat ho gae hain
hamari rasm hi chunki yahi hai
tumhaara farz hai
muhtat rahna
shikast-o-reKHt se KHud ko bachana
sanam ho gosht ke zinda
ya patthar
KHarash aai agar ruKH par badan par
to koi bhi tumhein sajda na hoga
agar salim rahe
sajde bhi honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.