intishaar
kabhī jumūd kabhī sirf intishār sā hai
jahāñ ko apnī tabāhī kā intizār sā hai
manū kī machhlī na kashti-e-nūh aur ye fazā
ki qatre qatre meñ tūfān be-qarār sā hai
maiñ kis ko apne garebāñ kā chaak dikhlā.ūñ
ki aaj dāman-e-yazdāñ bhī taar taar sā hai
sajā-sañvār ke jis ko hazār naaz kiye
usī pe ḳhāliq-e-kaunain sharmsār sā hai
tamām jism hai bedār fikr ḳhvābīda
dimāġh pichhle zamāne kī yādgār sā hai
sab apne paañv pe rakh rakh ke paañv chalte haiñ
ḳhud apne dosh pe har aadmī savār sā hai
jise pukāriye miltā hai ik khañDar se javāb
jise bhī dekhiye maazī kā ishtihār sā hai
huī to kaise bayābāñ meñ aa ke shaam huī
ki jo mazār yahāñ hai mirā mazār sā hai
koī to suud chukā.e koī to zimma le
us inqalāb kā jo aaj tak udhār sā hai
kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai
jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai
manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza
ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai
main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun
ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai
saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye
usi pe KHaliq-e-kaunain sharmsar sa hai
tamam jism hai bedar fikr KHwabida
dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai
sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain
KHud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai
jise pukariye milta hai ek khanDar se jawab
jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai
hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui
ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai
koi to sud chukae koi to zimma le
us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 287)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.