intizar baqi hai
kāñptī haiñ hoñToñ par
kitnī an-kahī bāteñ
gūñjte haiñ kānoñ meñ
kitne an-sune naġhme
jhāñkte haiñ palkoñ se
uñgliyoñ ke poroñ tak
ḳhvāb kitne an-dekhe
lams an-chhue kitne
naam hai talab jis kā
mustaqil harārat hai
hasrat-o-tamannā ke
āñ.suoñ se nam lekin
an-bujhe sharāroñ kī
dā.imī masāfat hai
be-bas ārzūoñ se
dard kī rasā.ī tak
qaid se rihā.ī tak
dhaḌkanoñ kī sarhad ke
us taraf bhī imkāñ hai
jān-o-tan se bāhar bhī
zindagī farozāñ hai
aañkh jam bhī jaa.e to
saañs tham bhī jaa.e to
dil ke tah-nashīñ jazbe
ruuh meñ panapte haiñ
umr sirf mohlat hai
ishq lamha-e-dā.em
e'tibār baaqī hai
merā ġham salāmat hai
terā husn hai qaa.em
intizār baaqī hai
kanpti hain honTon par
kitni an-kahi baaten
gunjte hain kanon mein
kitne an-sune naghme
jhankte hain palkon se
ungliyon ke poron tak
KHwab kitne an-dekhe
lams an-chhue kitne
nam hai talab jis ka
mustaqil hararat hai
hasrat-o-tamanna ke
aansuon se nam lekin
an-bujhe shararon ki
daimi masafat hai
be-bas aarzuon se
dard ki rasai tak
qaid se rihai tak
dhaDkanon ki sarhad ke
us taraf bhi imkan hai
jaan-o-tan se bahar bhi
zindagi farozan hai
aankh jam bhi jae to
sans tham bhi jae to
dil ke tah-nashin jazbe
ruh mein panapte hain
umr sirf mohlat hai
ishq lamha-e-daem
e'tibar baqi hai
mera gham salamat hai
tera husn hai qaem
intizar baqi hai
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.