intizar
bazm-e-ḳhāmosh meñ chhiḌne ko hai phir sāz-e-hayāt
muntazir baiThe haiñ sab gosh-bar-āvāz-e-hayāt
qābil-e-dīd hai tūfān se pahle kā sukūñ
josh-o-hangāma-o-haijān se pahle kā sukūñ
yās-o-ummīd meñ tafrīq hai mushkil is dam
hama-tan sākit-o-mabhūt hai mahfil is dam
TikTikī bāñdhe ba-yak-taur hazāroñ āñkheñ
ik kaf-e-pīr-e-muġhāñ aur hazāroñ āñkheñ
koī āgāh nahīñ daur kidhar aa.egā
kis ke hāthoñ meñ ḳhat-e-jām nazar aa.egā
har ghaḌī sīnoñ meñ hai kashmakash-e-shakk-o-yāqīñ
majlis-e-aish meñ bhī sūrat-e-ārām nahīñ
kis ne āġhāz kiyā zamzama-e-bazm-e-tarab
lab-e-jāñ-baḳhsh kī thoḌī sī bhī jumbish hai ġhazab
muzhda-e-amn-o-amāñ sulh kā paiġhām hai kyā
jang-e-āzādī-e-insāñ kā sar-anjām hai kyā
sāz-e-ulfat kī navā soz-e-mohabbat to nahīñ
naġhma-e-adl-o-musāvāt-o-uḳhuvvat to nahīñ
matlab-e-zīst kī tafhīm meñ kyā der hai ab
ne.amat-e-ām kī taqsīm meñ kyā der hai ab
tālib-e-sāġhar-e-nau bazm-e-kuhan hai saaqī
intizār āḳhir-e-shab sabr-shikan hai saaqī
bazm-e-KHamosh mein chhiDne ko hai phir saz-e-hayat
muntazir baiThe hain sab gosh-bar-awaz-e-hayat
qabil-e-did hai tufan se pahle ka sukun
josh-o-hangama-o-haijaan se pahle ka sukun
yas-o-ummid mein tafriq hai mushkil is dam
hama-tan sakit-o-mabhut hai mahfil is dam
TikTiki bandhe ba-yak-taur hazaron aankhen
ek kaf-e-pir-e-mughan aur hazaron aankhen
koi aagah nahin daur kidhar aaega
kis ke hathon mein KHat-e-jam nazar aaega
har ghaDi sinon mein hai kashmakash-e-shakk-o-yaqin
majlis-e-aish mein bhi surat-e-aram nahin
kis ne aaghaz kiya zamzama-e-bazm-e-tarab
lab-e-jaan-baKHsh ki thoDi si bhi jumbish hai ghazab
muzhda-e-amn-o-aman sulh ka paigham hai kya
jang-e-azadi-e-insan ka sar-anjam hai kya
saz-e-ulfat ki nawa soz-e-mohabbat to nahin
naghma-e-adl-o-musawat-o-uKHuwwat to nahin
matlab-e-zist ki tafhim mein kya der hai ab
neamat-e-am ki taqsim mein kya der hai ab
talib-e-saghar-e-nau bazm-e-kuhan hai saqi
intizar aaKHir-e-shab sabr-shikan hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.