intizar-e-subh-e-daraKHshan
zindagī ke ġham-o-ālām se Takrāne de
dard ban kar mujhe ehsās pe chhā jaane de
do qadam aur haiñ manzil pe pahuñch jaane de
phir tirī bazm meñ ā.ūñgā ġhazal-ḳhvānī ko
chand lamhe mirī ḳhātir se sahī aur Thahar
dard ke saaye meñ paltī hai tamnā-e-hayāt
ḳhuun miltā hai to lau detī hai kuchh sham-e-hayāt
ik tamāshā hai sar-e-dār ba-unvān-e-hayāt
zindagī ko na.e unvāñ se sajā lene de
chand lamhe mirī ḳhātir hī sahī aur Thahar
ab bhī afkār pe pahra hai siyah-kāroñ kā
soch sakte haiñ magar jur.at-e-taqrīr nahīñ
hijr kī aag meñ jaltā hai tamanna kā shabāb
merī taqdīr hai jalnā tirī taqdīr nahīñ
chand lamhe mirī ḳhātir se sahī aur Thahar
ab bhī kāñTe haiñ mohabbat kī guzargāhoñ par
ab bhī har raah pe rahzan haiñ ba-shakl-e-rahbar
ab bhī shā.ir ke muqaddar meñ hai be-nūr sahar
ab bhī mauqa hai zarā soch mire saath na aa
chand lamhe mirī ḳhātir se sahī aur Thahar
saath chaltī hai to kāñToñ se guzarnā hogā
kāsa-e-dil ġham-o-ālām se bharnā hogā
sāya-e-dār-o-rasan meñ bhī sañvarnā hogā
chand lamhoñ ke liye ḳhud ko pareshān na kar
shab ko pahuñchā ke sahar tak maiñ chalā ā.ūñgā
chand lamhe mirī ḳhātir se sahī aur Thahar
zindagi ke gham-o-alam se Takrane de
dard ban kar mujhe ehsas pe chha jaane de
do qadam aur hain manzil pe pahunch jaane de
phir teri bazm mein aaunga ghazal-KHwani ko
chand lamhe meri KHatir se sahi aur Thahar
dard ke saye mein palti hai tamna-e-hayat
KHun milta hai to lau deti hai kuchh sham-e-hayat
ek tamasha hai sar-e-dar ba-unwan-e-hayat
zindagi ko nae unwan se saja lene de
chand lamhe meri KHatir hi sahi aur Thahar
ab bhi afkar pe pahra hai siyah-karon ka
soch sakte hain magar jurat-e-taqrir nahin
hijr ki aag mein jalta hai tamanna ka shabab
meri taqdir hai jalna teri taqdir nahin
chand lamhe meri KHatir se sahi aur Thahar
ab bhi kanTe hain mohabbat ki guzargahon par
ab bhi har rah pe rahzan hain ba-shakl-e-rahbar
ab bhi shair ke muqaddar mein hai be-nur sahar
ab bhi mauqa hai zara soch mere sath na aa
chand lamhe meri KHatir se sahi aur Thahar
sath chalti hai to kanTon se guzarna hoga
kasa-e-dil gham-o-alam se bharna hoga
saya-e-dar-o-rasan mein bhi sanwarna hoga
chand lamhon ke liye KHud ko pareshan na kar
shab ko pahuncha ke sahar tak main chala aaunga
chand lamhe meri KHatir se sahi aur Thahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.