intizar
ek rahguzār par
der se khaḌā huā
sochtā huuñ maiñ ki ab
kaun aa.egā idhar
kis kā intizār hai
din to kab kā chhup gayā
shaam kab kī Dhal chukī
aas aur umiid kī
har ghaḌī nikal chukī
ūñghne lage daraḳht
rāste bhī so ga.e
intizār ke charāġh
bujh ke sard ho ga.e
dil kahe ki lauT chal
ab ye vaqt baar hai
kaun aa.egā idhar
kis kā intizār hai
ab koī na aa.egā
ek rahguzar par
der se khaDa hua
sochta hun main ki ab
kaun aaega idhar
kis ka intizar hai
din to kab ka chhup gaya
sham kab ki Dhal chuki
aas aur umid ki
har ghaDi nikal chuki
unghne lage daraKHt
raste bhi so gae
intizar ke charagh
bujh ke sard ho gae
dil kahe ki lauT chal
ab ye waqt bar hai
kaun aaega idhar
kis ka intizar hai
ab koi na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.