intizar hi intizar
ek chāñdnī raat thī
husn kī bārāt thī
thā dhartī par bhī ek chāñd chamaktā huā
sāmne us ke ek hasīn dilrubā
ḳhūbsūrat naqsh-o-nigār
āñkhoñ meñ ḳhumār hī ḳhumār
palkeñ jhuktīñ kabhī uThtīñ
lab-kushā hote
phir ḳhamoshī
raat kī dilkashī sameT kar
is chāñd kī āġhosh meñ
zam honā chāhtī thī vo
vo chāñd bhī us husn ke sahar meñ Duubā huā
dekhtā rahā dekhtā rahā
kaise dil se dil milā.e
ki āġhosh meñ vo simaT jaa.e
dhaḌkaneñ tez hotī ga.iiñ
qarār ik duuje kā khotī ga.iiñ
us chāñd ne parī-paikar kī jānib
haath baḌhā diye
apnī āġhosh ko vā kiyā aur kahā
aao simaT jaao merī bāñhoñ meñ
binā tumhāre maiñ rah nahīñ saktā jī nahīñ saktā
tum ki merā jīvan ho
vo parī-paikar husn-e-mujassam aage baḌhī
us chāñd kī dhaḌkanoñ meñ mil jaane ke liye
zindagī ke giit gaane ke liye muskurāne ke liye
achānak ġhaiz-o-ġhazab kī aa.ī āvāz
kahāñ hai chāñdnī kahāñ hai chāñdnī
vo husn-e-mujassam
ghar vāloñ kī ġhaiz-o-ġhazab kī sun kar āvāz
tharrā ga.ī kaañp ga.ī ḳhauf se
barq-raftār se sahn se hotī huī
jā kar apnī ḳhvāb-gāh meñ
maḳhmalīñ bistar par darāz ho ga.ī
phir rātoñ pahroñ vo jāgtī rahī jāgtī rahī
niiñd chain ārām kho gayā sab
rah gayā to bas ek intizār
intizār hī intizār
ek chandni raat thi
husn ki baraat thi
tha dharti par bhi ek chand chamakta hua
samne us ke ek hasin dilruba
KHubsurat naqsh-o-nigar
aankhon mein KHumar hi KHumar
palken jhuktin kabhi uThtin
lab-kusha hote
phir KHamoshi
raat ki dilkashi sameT kar
is chand ki aaghosh mein
zam hona chahti thi wo
wo chand bhi us husn ke sahar mein Duba hua
dekhta raha dekhta raha
kaise dil se dil milae
ki aaghosh mein wo simaT jae
dhaDkanen tez hoti gain
qarar ek duje ka khoti gain
us chand ne pari-paikar ki jaanib
hath baDha diye
apni aaghosh ko wa kiya aur kaha
aao simaT jao meri banhon mein
bina tumhaare main rah nahin sakta ji nahin sakta
tum ki mera jiwan ho
wo pari-paikar husn-e-mujassam aage baDhi
us chand ki dhaDkanon mein mil jaane ke liye
zindagi ke git gane ke liye muskurane ke liye
achanak ghaiz-o-ghazab ki aai aawaz
kahan hai chandni kahan hai chandni
wo husn-e-mujassam
ghar walon ki ghaiz-o-ghazab ki sun kar aawaz
tharra gai kanp gai KHauf se
barq-raftar se sahn se hoti hui
ja kar apni KHwab-gah mein
maKHmalin bistar par daraaz ho gai
phir raaton pahron wo jagti rahi jagti rahi
nind chain aaram kho gaya sab
rah gaya to bas ek intizar
intizar hi intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.