intizar ke dosh par
dīvār se laTkā.e
afsurda khaḌā hai eucalyptus kā daraḳht
soch meñ gum
ab tak vo sunahre baal vaalī
shoḳh kiran aa.ī nahīñ
aate hī lipaT jā.egī mere jism se beloñ kī tarah
raat pighaltī rahī hai buuñd buuñd
dam toḌtī haiñ āḳhirī sā.ateñ
ai dil-e-nādāñ dil-e-be-tāb Thahar
bas kuchh hī pal aur sabr kar
ujālā hone bhar
diwar se laTkae
afsurda khaDa hai eucalyptus ka daraKHt
soch mein gum
ab tak wo sunahre baal wali
shoKH kiran aai nahin
aate hi lipaT jaegi mere jism se belon ki tarah
raat pighalti rahi hai bund bund
dam toDti hain aaKHiri saaten
ai dil-e-nadan dil-e-be-tab Thahar
bas kuchh hi pal aur sabr kar
ujala hone bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.