intizar
muddateñ biit ga.iiñ
tum nahīñ aa.iiñ ab tak
roz sūraj ke bayābāñ meñ
bhaTaktī hai hayāt
chāñd ke ġhaar meñ
thak-hār ke so jaatī hai raat
phuul kuchh der mahaktā hai
bikhar jaatā hai
har nasha
lahr banāne meñ utar jaatā hai
vaqt!
be-chehra havāoñ sā guzar jaatā hai
kisī āvāz ke sabze meñ lahak jaisī tum
kisī ḳhāmosh tabassum meñ chamak jaisī tum
kisī chehre meñ mahaktī huī āñkhoñ jaisī
kahīñ abrū kahīñ gesū kahīñ bāñhoñ jaisī
chāñd se
phuul talak
yuuñ to tumhīñ tum ho magar
tum koī chehra koī jism koī naam nahīñ
tum jahāñ bhī ho
adhūrī ho haqīqat kī tarah
tum koī ḳhvāb nahīñ ho
jo mukammal hogī
muddaten bit gain
tum nahin aain ab tak
roz suraj ke bayaban mein
bhaTakti hai hayat
chand ke ghaar mein
thak-haar ke so jati hai raat
phul kuchh der mahakta hai
bikhar jata hai
har nasha
lahr banane mein utar jata hai
waqt!
be-chehra hawaon sa guzar jata hai
kisi aawaz ke sabze mein lahak jaisi tum
kisi KHamosh tabassum mein chamak jaisi tum
kisi chehre mein mahakti hui aankhon jaisi
kahin abru kahin gesu kahin banhon jaisi
chand se
phul talak
yun to tumhin tum ho magar
tum koi chehra koi jism koi nam nahin
tum jahan bhi ho
adhuri ho haqiqat ki tarah
tum koi KHwab nahin ho
jo mukammal hogi
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 314)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.