intizar
raat kā qāfila tezī se guzar jaatā hai
naqsh-e-pā jis ke sar-e-rāh jagmagāte the
miTte jaate haiñ misl-e-harf-e-ġhalat āsmāñ ke saf.he se
maiñ ik darmāñda rāh-rau kī tarah
un kī rāhoñ meñ bichhā.e hue palkoñ ke kañval
kab se baiThā huuñ maiñ
yakkā tanhā
har ik āvāz pe dil merā dhaḌak uThtā hai
jab sabā chaltī hai ḳhushbū ko jilau meñ le kar
un kī mahkī huī zulfoñ kā ḳhayāl aatā hai
nazar uThā ke jo dekhā to
duur duur talak
un kā saaya pas-e-dīvār bhī aayā na nazar
ufuq ke paar se uThtā hai mash.aloñ kā dhuāñ
qāfila ho gayā āsūda-e-manzil shāyad
chāñd kī sham.a bujhī
dil kā diyā bujh sā gayā
aur vo sub.h kā taarā
mirī aashā kī tarah Duub gayā
ab yahāñ koī nahīñ koī nahīñ āye.gā
raat ka qafila tezi se guzar jata hai
naqsh-e-pa jis ke sar-e-rah jagmagate the
miTte jate hain misl-e-harf-e-ghalat aasman ke safhe se
main ek darmanda rah-rau ki tarah
un ki rahon mein bichhae hue palkon ke kanwal
kab se baiTha hun main
yakka tanha
har ek aawaz pe dil mera dhaDak uThta hai
jab saba chalti hai KHushbu ko jilau mein le kar
un ki mahki hui zulfon ka KHayal aata hai
nazar uTha ke jo dekha to
dur dur talak
un ka saya pas-e-diwar bhi aaya na nazar
ufuq ke par se uThta hai mashalon ka dhuan
qafila ho gaya aasuda-e-manzil shayad
chand ki shama bujhi
dil ka diya bujh sa gaya
aur wo subh ka tara
meri aasha ki tarah Dub gaya
ab yahan koi nahin koi nahin aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.