intizar
sab sitāre chāñd sūraj phuul phal ga.e
kab kahāñ aur kaun ke sab silsile ab ḳhatm haiñ
vaqt par maut aa ga.ī mausam badal ga.e
vaqt kā lamha-e-fānī le gayā sab raushnī aur rang-o-bū
ab na pyāla hai na paanī
ek korā āsmāñ hai
be-dar-o-dīvār rauzan aur benām-o-nishāñ
shakl aur shīshe kī ārā.ish kā manzar bhī nahīñ
nuur kī nazreñ bhī patthar ho ga.iiñ
ab raho tum muntazir
ḳhāk-o-ḳhūñ kī chāshnī meñ kaun ab lā.egā vasl-o-hijr ke mausam yahāñ
ab vo gum-gashta ḳhazīnoñ kī ḳhabar
phuul kī pattī meñ larzāñ phir na dekhoge kabhī
ye ḳhayāl-o-ḳhvāb kī ḳhākistarī ḳhabroñ ke din
aur ḳhvābīda nashe meñ lauTtī rātoñ kī battiyāñ gul huiiñ
ḳhāk-dāñ sab jal-bujhe
ḳhuun kī holī ke khel
terī merī zid ke saare mel-jol
vasl kī sab qurbateñ aur hijr ke sab fāsle
sab sadā.eñ aur sadiyāñ mausamoñ ke qāfile
Dhal Dhalā kar rang kī āmezishoñ ke saa.e meñ
tere mere sar se saare vaar kar
chāñdnī aur dhuup ke in nuqra.ī sikkoñ kā ruup
le uḌe haiñ kāġhazī pairāhanoñ ke dosh par
terī merī kulfatoñ aur ulfatoñ kī dāstāñ
qāfiloñ kā vaqt ab baaqī nahīñ
chhoḌ do paimā.ish-e-sūd-o-ziyāñ
daur ab reg-e-ravāñ kā ḳhatm hai
vaqt kā vaqfa nayā aa.egā bhī
phir bisāt-e-dil bichhā.eñge na.ī
phir khilegā mausam-e-gul bhī nayā
bāñdh rakh raḳht-e-safar
ai ham-safar
maiñ vahī musht-e-ġhubār-e-rah-guzar
huuñ muntazir
sab sitare chand suraj phul phal gae
kab kahan aur kaun ke sab silsile ab KHatm hain
waqt par maut aa gai mausam badal gae
waqt ka lamha-e-fani le gaya sab raushni aur rang-o-bu
ab na pyala hai na pani
ek kora aasman hai
be-dar-o-diwar rauzan aur benam-o-nishan
shakl aur shishe ki aaraish ka manzar bhi nahin
nur ki nazren bhi patthar ho gain
ab raho tum muntazir
KHak-o-KHun ki chashni mein kaun ab laega wasl-o-hijr ke mausam yahan
ab wo gum-gashta KHazinon ki KHabar
phul ki patti mein larzan phir na dekhoge kabhi
ye KHayal-o-KHwab ki KHakistari KHabron ke din
aur KHwabida nashe mein lauTti raaton ki battiyan gul huin
KHak-dan sab jal-bujhe
KHun ki holi ke khel
teri meri zid ke sare mel-jol
wasl ki sab qurbaten aur hijr ke sab fasle
sab sadaen aur sadiyan mausamon ke qafile
Dhal Dhala kar rang ki aamezishon ke sae mein
tere mere sar se sare war kar
chandni aur dhup ke in nuqrai sikkon ka rup
le uDe hain kaghazi pairahanon ke dosh par
teri meri kulfaton aur ulfaton ki dastan
qafilon ka waqt ab baqi nahin
chhoD do paimaish-e-sud-o-ziyan
daur ab reg-e-rawan ka KHatm hai
waqt ka waqfa naya aaega bhi
phir bisat-e-dil bichhaenge nai
phir khilega mausam-e-gul bhi naya
bandh rakh raKHt-e-safar
ai ham-safar
main wahi musht-e-ghubar-e-rah-guzar
hun muntazir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.