intizar
terī hī justujū mujhe terā hī intizār hai
tujh se bichhaḌ ke ai sanam chain hai na qarār hai
terī sadā.eñ kaan meñ guuñj rahī haiñ baar baar
sāz-e-hayāt kā mire chheḌā hai tū ne taar taar
kitne hī din guzar ga.e aa.e hazāroñ inqalāb
āñkheñ taras ke rah ga.iiñ TuuT ga.e hasīn ḳhvāb
bāġh-e-shabāb meñ mire aa ke ga.ī bahār bhī
phuul khile bikhar ga.e ruḳhsat huā qarār bhī
kaagā ke kaa.eñ kaa.eñ se dil ko to aas bhī huī
pī jo kahā papīhe ne dil kī mire ḳhalish baḌhī
jūñ-hī kisī ne dī sadā dauḌ ke sū-e-dar gayā
dhak se huā hai dil mirā jab bhī koī Thahar gayā
diiñ jo kisī ne thapkiyāñ mere dar-o-dīvār meñ
tūfāñ sā uTh ke rah gayā bāda-e-intizār meñ
terī hī yaad meñ sanam dil kā ye hāl-e-zār hai
tere hī hijr meñ mujhe jiinā bhī nāgavār hai
ḳhāna-ḳharāb ho ke maiñ ḳhuub hī dar-ba-dar huā
musht-e-ġhubār bhī banā zarra-e-rahguzar huā
ashk bhī ḳhushk ho chuke bujh bhī chukī nazar kī pyaas
sab to huā magar kabhī puurī huī na merī aas
terī talāsh chār-sū mujh ko to sub.h-o-shām hai
rātoñ kī niiñd terī hī yādoñ se ab harām hai
ab maiñ karūñ to kyā karūñ koī mujhe batā.e to
kis se kahūñ kidhar phirūñ jā.ūñ kahāñ batā.e to
ab bhī vahī junūn hai ab bhī vahī ḳhumār hai
pahle bhī intizār thā aaj bhī intizār hai
teri hi justuju mujhe tera hi intizar hai
tujh se bichhaD ke ai sanam chain hai na qarar hai
teri sadaen kan mein gunj rahi hain bar bar
saz-e-hayat ka mere chheDa hai tu ne tar tar
kitne hi din guzar gae aae hazaron inqalab
aankhen taras ke rah gain TuT gae hasin KHwab
bagh-e-shabab mein mere aa ke gai bahaar bhi
phul khile bikhar gae ruKHsat hua qarar bhi
kaga ke kaen kaen se dil ko to aas bhi hui
pi jo kaha papihe ne dil ki mere KHalish baDhi
jun-hi kisi ne di sada dauD ke su-e-dar gaya
dhak se hua hai dil mera jab bhi koi Thahar gaya
din jo kisi ne thapkiyan mere dar-o-diwar mein
tufan sa uTh ke rah gaya baada-e-intizar mein
teri hi yaad mein sanam dil ka ye haal-e-zar hai
tere hi hijr mein mujhe jina bhi nagawar hai
KHana-KHarab ho ke main KHub hi dar-ba-dar hua
musht-e-ghubar bhi bana zarra-e-rahguzar hua
ashk bhi KHushk ho chuke bujh bhi chuki nazar ki pyas
sab to hua magar kabhi puri hui na meri aas
teri talash chaar-su mujh ko to subh-o-sham hai
raaton ki nind teri hi yaadon se ab haram hai
ab main karun to kya karun koi mujhe batae to
kis se kahun kidhar phirun jaun kahan batae to
ab bhi wahi junun hai ab bhi wahi KHumar hai
pahle bhi intizar tha aaj bhi intizar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.