intizar
ye dhuup dhuup shab-o-roz sulagte lamhe
ye tīrgī ye tajallī ye kaifiyat ye azaab
ye ḳhvāb ḳhvāb tamannā ye aarzū ye ḳhayāl
ye qurbateñ ye aqīdat ye fāsla ye hijāb
sa.ūbatoñ kī masāfat se thak gayā huuñ maiñ
bahut tavīl haiñ ye intizār kī rāheñ
simaTte phailte lamhoñ ko thaam lo aa kar
ukhaḌtī sāñseñ haiñ misl-e-habāb aa jaao
lahūluhān samundar kī be-karāñ lahreñ
pukārtī haiñ tumheñ ab bhī be-zabāñ lahreñ
ye dhup dhup shab-o-roz sulagte lamhe
ye tirgi ye tajalli ye kaifiyat ye azab
ye KHwab KHwab tamanna ye aarzu ye KHayal
ye qurbaten ye aqidat ye fasla ye hijab
saubaton ki masafat se thak gaya hun main
bahut tawil hain ye intizar ki rahen
simaTte phailte lamhon ko tham lo aa kar
ukhaDti sansen hain misl-e-habab aa jao
lahuluhan samundar ki be-karan lahren
pukarti hain tumhein ab bhi be-zaban lahren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.