iqbaal ek kitab
dosto añgrez ne iqbāl ko
denā chāhā jis ghaḌī sir kā ḳhitāb
shā.ir-e-mashriq ne un se yuuñ kahā
maiñ use aise nahīñ lūñgā janāb
haiñ mere ustād ilm-o-fazl meñ
be-misāl-o-be-nazīr-o-lā-javāb
pahle ye e.azāz un ko dījiye
shauq se phir us ko maiñ lūñgā janāb
bolā yuuñ añgrez ki likkhī nahīñ
aap ke ustād ne koī kitāb
sāhab-e-tasnīf jab tak vo na hoñ
de nahīñ sakte unheñ sir kā ḳhitāb
bole iqbāl aap ne dekhī hai kyā
mujh se baḌh kar bhī kahīñ koī kitāb
maanī āḳhir shā.ir-e-mashriq kī baat
rah gayā añgrez ho ke lā-javāb
dosto angrez ne iqbaal ko
dena chaha jis ghaDi sir ka KHitab
shair-e-mashriq ne un se yun kaha
main use aise nahin lunga janab
hain mere ustad ilm-o-fazl mein
be-misal-o-be-nazir-o-la-jawab
pahle ye eazaz un ko dijiye
shauq se phir us ko main lunga janab
bola yun angrez ki likkhi nahin
aap ke ustad ne koi kitab
sahab-e-tasnif jab tak wo na hon
de nahin sakte unhen sir ka KHitab
bole iqbaal aap ne dekhi hai kya
mujh se baDh kar bhi kahin koi kitab
mani aaKHir shair-e-mashriq ki baat
rah gaya angrez ho ke la-jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.