iqrar
chalo ham maan lete haiñ
hamāre darmiyāñ tahzīb thī ik zaḳhm-e-ḳhvāhish kī
bañdhe the jis se ham donoñ
bahut mazbūt bandhan meñ
chalo ham maan lete haiñ
hamāre ḳhvāb uljhāv ke phailāv pe mabnī the
juḌe the jis se ham donoñ
musalsal ek uljhan meñ
chalo ham maan lete haiñ
ki zaḳhm-e-ḳhvāhish-o-ḳhvāb-e-mohabbat rā.igānī thī
magar sab kuchh agar ham maan bhī jaa.eñ
to phir kyā hai
kabhī kyā zaḳhm bharte haiñ
kabhī kyā ḳhvāb marte haiñ
chalo ham maan lete haiñ
ki ham se kuchh purānī soch ke hāmil
na.ī ḳhvāhish se Darte haiñ
chalo hum man lete hain
hamare darmiyan tahzib thi ek zaKHm-e-KHwahish ki
bandhe the jis se hum donon
bahut mazbut bandhan mein
chalo hum man lete hain
hamare KHwab uljhaw ke phailaw pe mabni the
juDe the jis se hum donon
musalsal ek uljhan mein
chalo hum man lete hain
ki zaKHm-e-KHwahish-o-KHwab-e-mohabbat raigani thi
magar sab kuchh agar hum man bhi jaen
to phir kya hai
kabhi kya zaKHm bharte hain
kabhi kya KHwab marte hain
chalo hum man lete hain
ki hum se kuchh purani soch ke hamil
nai KHwahish se Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.