iqrar
tirī sanjīda bāteñ yaad aa.eñ to hañsātī haiñ
tirī sab bholpan meñ kī huī bāteñ satātī haiñ
tirā ye bachpanā to jaane kab jā.egā jān-e-jāñ
tujhe bhī pyaar karnā jaane kab aa.egā jān-e-jāñ
bharī mahfil meñ sab ke sāmne iqrār kartā huuñ
maiñ tum se pyaar kartā huuñ tumhī se pyaar kartā huuñ
na ho mujh par yaqīñ tum ko to ik din aazmā lenā
aur us ke ba.ad jān-e-jāñ mujhe apnā banā lenā
teri sanjida baaten yaad aaen to hansati hain
teri sab bholpan mein ki hui baaten satati hain
tera ye bachpana to jaane kab jaega jaan-e-jaan
tujhe bhi pyar karna jaane kab aaega jaan-e-jaan
bhari mahfil mein sab ke samne iqrar karta hun
main tum se pyar karta hun tumhi se pyar karta hun
na ho mujh par yaqin tum ko to ek din aazma lena
aur us ke baad jaan-e-jaan mujhe apna bana lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.