irada
kal yahāñ se maiñ kahīñ duur chalā jā.ūñgā
tirī ma.asūm nigāhoñ se tirī mahfil se
raqs kartī huī duniyā se tirī manzil se
duur haañ duur tire naġhma-e-sāz-e-dil se
rūh-e-nasrīn-o-saman aur bhī ġhamgīn na ho
kal yahāñ se maiñ kahīñ duur chalā jā.ūñgā
maiñ huuñ nādār to nādār kī ġham-ḳhvār na ban
ek sham.a-e-tah-e-dāman kī talabgār na ban
tujh ko hañste hue gaate hue lamhoñ kī qasam
dekh kar merī taraf aur gunahgār na ban
mere so.e hue ehsās ko bedār na kar
kal yahāñ se maiñ kahīñ duur chalā jā.ūñgā
dil tirī yaad se ābād hai nāshād sahī
saaz naġhmoñ se jo ḳhālī hai to fariyād sahī
terī duniyā rahe ābād maiñ barbād sahī
tere milne kā tasavvur na sahī yaad sahī
ek nāshād ko ab aur bhī nāshād na kar
kal yahāñ se maiñ kahīñ duur chalā jā.ūñgā
bazm gul-hā-e-mohabbat se sajānā hai tujhe
sīm-o-zar kī na.ī duniyā ko basānā hai tujhe
ghar ke hañste hue tūfān se jaanā hai tujhe
ziist ke saaz par har rang meñ gaanā hai tujhe
is liye bār-e-ġham-e-dosh se ranjūr na ho
kal yahāñ se maiñ kahīñ duur chalā jā.ūñgā
kal yahan se main kahin dur chala jaunga
teri masum nigahon se teri mahfil se
raqs karti hui duniya se teri manzil se
dur han dur tere naghma-e-saz-e-dil se
ruh-e-nasrin-o-saman aur bhi ghamgin na ho
kal yahan se main kahin dur chala jaunga
main hun nadar to nadar ki gham-KHwar na ban
ek shama-e-tah-e-daman ki talabgar na ban
tujh ko hanste hue gate hue lamhon ki qasam
dekh kar meri taraf aur gunahgar na ban
mere soe hue ehsas ko bedar na kar
kal yahan se main kahin dur chala jaunga
dil teri yaad se aabaad hai nashad sahi
saz naghmon se jo KHali hai to fariyaad sahi
teri duniya rahe aabaad main barbaad sahi
tere milne ka tasawwur na sahi yaad sahi
ek nashad ko ab aur bhi nashad na kar
kal yahan se main kahin dur chala jaunga
bazm gul-ha-e-mohabbat se sajaana hai tujhe
sim-o-zar ki nai duniya ko basana hai tujhe
ghar ke hanste hue tufan se jaana hai tujhe
zist ke saz par har rang mein gana hai tujhe
is liye bar-e-gham-e-dosh se ranjur na ho
kal yahan se main kahin dur chala jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.